TAQDEER Ka BAYAAN
TAQDEER Ka BAYAAN ******************* Aalam mein jo kuch bhlaa-bura hota hai Sabko ALLAH Ta'ala isko hone se pehle hi AOR hamesha se jaanta hai Aor usne apne isi ilm-e-azali ke muwaafiq par bhalai-burai muqaddar farma di hai TAQDEER isi ka naam hai jaisa hone wala hai aor jo jaisa krne waala tha isko pehle hi ALLAH Ta'ala ne apne ilm se jana aor isi ko ALLAH Ta'ala ne Lohe-Mehfooz par likh diya To yeh na samjho jaisa usne likh diya majbooran humko waisa hi krna pdhta hai balki waqiya yeh hai jaisa hum krne waale the waisa hi usne boht pehle likh diya. Kisi ke zimme burai likhi isliye ki Wo burai krne waala tha Agar Koi bhalai krne waala hota to woh Uske liye bhalai likhta To ALLAH Ta'ala ne TAQDEER likh kar kisi ko bhalai ya burai krne ke pr majboor nhi krdiya hai . Aqeedah 1- TAQDEER par imaan laana bhi zaruriyaat-e-deen mein hai TAQDEER ka inkaar krne waaloñ ko Nabi Kareem ﷺ ne is ummat ka majoos kaha hai. Aqeedah 2- TAQDEER ke masa'il Aam l...