TAQDEER Ka BAYAAN

TAQDEER Ka BAYAAN
*******************
Aalam mein jo kuch
bhlaa-bura hota hai
Sabko  ALLAH Ta'ala isko hone se pehle hi
AOR
hamesha se jaanta hai

Aor usne apne isi ilm-e-azali ke muwaafiq par
bhalai-burai muqaddar farma di hai

TAQDEER isi ka naam hai jaisa hone wala hai aor jo jaisa krne waala tha isko pehle hi ALLAH Ta'ala ne apne ilm se jana aor isi ko ALLAH Ta'ala ne Lohe-Mehfooz par likh diya

To yeh na samjho jaisa usne likh diya  majbooran humko waisa hi krna pdhta hai balki waqiya yeh hai jaisa hum krne waale the waisa hi usne boht pehle likh diya.

Kisi ke zimme burai likhi isliye ki
Wo burai krne waala tha
Agar Koi bhalai krne waala hota to woh Uske liye bhalai likhta

To ALLAH Ta'ala ne TAQDEER likh kar kisi ko bhalai ya burai krne ke pr majboor nhi krdiya hai .

Aqeedah 1-
TAQDEER par imaan laana bhi zaruriyaat-e-deen mein hai
TAQDEER ka inkaar krne waaloñ ko Nabi Kareem ﷺ ne is ummat ka majoos kaha hai.

Aqeedah 2-
TAQDEER ke masa'il
Aam logo'n ki samajh mein nahi aa
sakte
Isliye TAQDEER ke masa'il mein bohot zyada Ghaur-o-fiqar aor
behas-wa-Mubaahisa karna halaa kat ka sabab hai.

Ameerul Momineen Hazrat Abu Baqar Siddique رﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ aor Ameerul Momineen Hazrat Umar Farooque رﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ
TAQDEER ke mas'ale mein behes karne se manaa farma gaye hain

Phir bhalaa hum aor tum kis ginti mein hain
ki is mas'ale par behes-wa-mubaahisa kareñ.  Hamare liye yahi huqm hai
ki hum TAQDEER par imaan laaye
Aor is mushkil aor naazuk mas'ale me hargiz-hargiz kabhi behes-o-mubaahisa aor hujjat wa taqraar na kareñ ki isi mein imaam ki salaamati hai .
(Reference:-Jannati Zewar
Page no.187)
************************

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा