Posts

Showing posts with the label Sawal

Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat

Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat *************************************** Sawaal: Jinnaat Ki Kitni Qisme Hain?? Jawaab: Jinnat ki 3 Qisme hain 1-Wo Jinn Jinke Par Hote hain Aor Wo Hawa me Udte Bhi hain 2-Wo jinn Jo Sanpon Ki Shaqal me Rehte Hain 3-Wo jinn Jo Insaano ki Tarah Hain (Hayaatul Haiwan) Sawaal: Kis Qisam ke Jinnat Se Hisaabo kitab hoga?? Jawaab: Tisri Qisam ke Jinnat Se Yaani jo Insaano ki Tarah hai unse hisabo kitab Hoga Akhirat me Sawaal: jinnat Zameen Par Kab Aabaad kiye Gaye?? Jawaab: Allaha Ta'ala ne Jinnat ko Hazrat Aadam Alaihissalam ki paidaish Se 60000 Hazaar Saal Pahle jinnat ko Zameen Me Basaya tha (Tafseere Naimi jild 1 page 279) Sawaal: Jinnat zameen Par kitne Saalon Tak Abaad Rahe?? Jawaab: Jinnat Zameen Par 7 Hazaar Saalon Tak Abaad Rahe (Tafseere Naimi jild 1 page 279) Sawaal: Jinnat ko Zameen Se Q Bhagaya Gya Aor Kisne Bhagaya?? Jawaab: jinnat jab Zameen Par Abaad hue To Unka AApas me Hasad Shuru hua Unhone Zame...

Shaitan Farishta Tha Jinn??

Sawal: Shaitan Farishta Tha Jinn?? ***************************** Jawab Kuchh log Kam ilmi ki Wajah Se Ye kehte hain ki Shaitaan Yaani Iblis jo Tha Wo Ek Farishta Tha Isliye ALLAH ne Use Farishto ka Sardaar Banaya Tha Jabki Ye Ek Galat Aqeedah hai Iski Daleel Hum Quraan Se Dete Hain ji Shaitan Ek jinn Hai Surah Kahaf Aayat No. 50 main hai ki Shaitan Ek jinn Tha Hamen Quraan ki Manni Chahiye Na ki kisi insaan ki Usko Farishton ka Sardaar Q banaya Gya Q ki Wo us Waqt bohot Ibaadat  Guzar tha Isliye Usko Saare Farishyon ka Saradaar banaya gya lekin jab Hazrat Aadam Alaihissalam ki paidaiah hui Tab Wo khudpar ghumaan Karne Laga Aor Jab Usko ALLAH ne huqm diya ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ko Sajda karo To Sab Farishton ne Sajda kiya lekin usne Takabbur me Aakar manaa kardia Ao bola Me Inse Zyada Fazilat Rakhta hun Q ki Me Aag Se Banaya Gya hoon Aor Ye Mitti se phir Wo Mardood Hogya Aor Uspar Qayamat Tak ALLA ki Laanat Barasti Rahegi AOR Jahannam me jayega ...