Shaitan Farishta Tha Jinn??
Sawal:
Shaitan Farishta Tha Jinn??
*****************************
Jawab Kuchh log Kam ilmi ki Wajah Se
Ye kehte hain
ki Shaitaan Yaani Iblis jo Tha Wo Ek
Farishta Tha Isliye ALLAH ne
Use Farishto ka Sardaar Banaya Tha
Jabki Ye Ek Galat Aqeedah hai
Iski Daleel Hum Quraan Se Dete Hain
ji Shaitan Ek jinn Hai
Surah Kahaf Aayat No. 50 main hai
ki Shaitan Ek jinn Tha
Hamen Quraan ki Manni Chahiye Na ki kisi insaan ki
Usko Farishton ka Sardaar Q banaya Gya Q ki
Wo us Waqt bohot Ibaadat Guzar tha
Isliye Usko Saare Farishyon ka Saradaar banaya gya
lekin jab Hazrat Aadam Alaihissalam
ki paidaiah hui
Tab Wo khudpar ghumaan Karne Laga Aor
Jab Usko ALLAH ne huqm
diya ki
Hazrat Aadam Alaihissalam Ko Sajda karo
To Sab Farishton ne Sajda kiya
lekin usne Takabbur me Aakar manaa kardia
Ao bola Me Inse Zyada Fazilat Rakhta hun
Q ki
Me Aag Se Banaya Gya hoon Aor
Ye Mitti se phir Wo Mardood Hogya Aor
Uspar Qayamat Tak ALLA ki
Laanat Barasti Rahegi
AOR Jahannam me jayega
Jab Haqeeqat Aap khud Dekh Sakte Hain
Aag Se Mitti Behtar hai
Q ki Aag mitti ko nahi mita Sakti lekin Mitti ko Paani Zaroor Bujha Sakta hai
Ye Usko Kam Aqli Thi jo ALLAH ki Banayi Hui
SabSe Behtar Makhlooq ko Khudse
Afzal Samjha
Allah Ta'ala Hum Sabhi ke Imaan ki Hifazat Farmaye Aor
Takabbur Aor Ghamand Jaisi Burayio Se Mahfooz
Farmaye Aameen
***********************
Comments