SHARIAT WA TARIQAT---------------PART—2

SHARIAT WA TARIQAT---------------PART—2
Shariat Chand Halaal, Haraam, Fard Wajib Ke Masail Ka Naam Nahi Hai. Shariat Jism Wa Jaan,  Rooh Wa Qalb(Dill)  Aur Tamaam Uloom Ilahiyah,  Aur Lamutnahi(Jiski Koi Inteha Nahi) Moarif Sab Kee Jame’a Hai, Aur In Tamaam Cheezon Me Se TARIQAT Wa MAARIFAT Sirf Ek Tukde Ka Naam Hai.
Isee Wajah Se Tamaam Auliya E Kraam Ke Qataee Ijma’a Se Fard Hai Ke Tamaam Haqaiq Ko Shariat Muthara Par Pesh Kiya jaye. Agar Wo Haqaiq , Shariat Ke Mutabiq Hon To Qaabil E Qabool Hain Warna Mardood Wa Ruswa Hain, To Yaqeenan Mutlaqan (Absolutely) Shariat Asl Kaar Hai, Aur Shariat Hi Sub Ka Daromadar Hai. Shariat Hi Kasauti Aur Ma’ayaar (Khare Khote Ki jaanch) Hai.
Shariat Ke Maani Hai RAASTA, Aur Shariat Muhammadiya ( Salallaho Alehe Wasallam ) Ka Tarjuma Hai” MUHAMMADUR RASOOL ALLAH” Ka Raasta . Ye Maani Umoom(Aksar, Aam Tour Par) Wa Itlaaq(Aayed Hone Ke ) Ke Aitbar Se Tamaam ZAAHIR Wa BAATIN Ko Shaamil Hai, Sirf Chand Jismani Ehkaam Ke Saath Khaas Nahi.
Yahi Wo Raasta Hai Ke Paanchon Waqt Har Namaaz, Har Raka’at Me Iska Maangna Aur Ispar Saabit Qadmi Ki DUA Karna Har Musalmaan Par Waajib, Yaani Sureh Al-Faateha Padhna Waajib Hai. Aur Isme “ Ehdinas-Siraat Al-Mustaqeem” Bhi Hai Jisme Ye Dua Hai Ke Hum Ko Muhammad Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa  sallam Ki Raah Par Chala , Aap Ki Shariat Par Saabit Qadam Rakh.
Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radi Allah Taala Anhuma , Imaam Abu Al-Aaliyah, Aur Imaam Basri Rehmat Allah Alayhum Farmate Hain Sirat-e-Mustaqeem Muhammad Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa  sallam, Hazrat Abu Bakar Siddiq Wa Hazrat Umar Farooq Radi Allah Taala Anhuma Hain.(Al-Durr-Al-Mansoor).
Shariat Wo Raah Hai Jispar Khuda Milta Hai . Quraan Paak Me Hai” BESHAK IS SEEDHI RAAH(SIRAT-E-MUSTAQEEM) PAR MERA RABB MILTA HAI” (Sureh Al-Hood Ayat 56). Shariat Hi Wo Raah Hai Jiski Mukhalifat Karne Waala Gumraah Wa Badd Deen Hai. Shariat Hi Wo Raah Hai Jis Se Allah Taala Ki Bargaah Tak Pahunchna Naseeb Hota Hai Iske Siwa Aadmi jo Raah Chalega Allah Ki Raah Se Door ja Padhega.

Jazakumullahu Khairan Kaseera
Taalib E Dua,
Aap sab ka Ek Adna Aur Haqeer Bhai,
S.A.

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा