Islam And Nikah

Nikah In Islam

Post-02

Nikah Karne Par Aadha (50%) Deen Mukammal Ho Jata Hai...

Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishanصلل الله عليه وسلم Ne Farmaya:

"Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen
Mukammal Ho Jata Hai
Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta'ala Se Daro"

(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

ZEENAT AUR AARAISH (MAKEUP):

Qudrat Ne Insaan Ko Tamam Makhlooqaat Se Behtar Shakal Aur Umdah Soorat Ata Ki Hai,
Us Haseen Shakal Wa Soorat Ka Taqaaza Hai Ke Usko Saaf Wa Paak Rakha Jaaye Aur Jahan Tak Mumkin Ho Mard Aur Aurat Dono Hi Apni Paaki Wa Shakal Wa Soorat Ko Sawaaren,

Khaas Kar Azdawazi Zindagi Me (Married life) Is Ka Ehtemam Karna chahiye,
Isse Dono Ke Darmiyan Qurbat Wa Muhabbat Badhti Hai Aur Nafrat Wa Karaahat Ka Jazba Paida Ni Hota
Allah Taala Ka Irshad Hai...

"Aurton Ke Liye Tumpar Waise Hi Huqooq Hain Jaise Tumhare Liye Un Par Hain"

(Surah Baqarah)

Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Is Aayat Ki Tafseer Me Farmate Hain....

"Jis Tarah Biwi Mere Liye Aaraish (Makeup) Karte Hai,
Main Bhi Uske Liye Aaraish Karta Hoon,
Main Pasand Nahi Karta Ke Biwi Par Jo Mere Huqooq Hain Wah Poore Haasil Kar Loon Kyonki Uski Wajah Se Mere Uper Jo Uske Huqooq Hain Unki Mustahik Ho Jayegi Jaisa Ke Allah Taala Ne Is Aayat Me Farmaya "
Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya...

"Jab Tum Safar Se Raat Me Aao (Aur Ghar Waalon Ko Pahle Se Malum Na Ho) Toh Fauran Ghar Me Na Chale Jao,
Taake Jis Aurat Ka Shauhar Ghayab Tha Wah Zer E Naaf Baal Moond Le Aur Pur'gandah Baal Waali Surmein Kanghi Kar Le,
Heshyaar Heshyaar Jald Baazi Na Karna"

(Bukhari)

Yaad Rakhna chahiye Ke Asal Zeenat Wa Aaraish Ye Hai Ke Jism Wa Libaas Ko Paak Wa Saaf Rakha Jaaye Aur Hiyyat Wa soorat Ko Unki Fitri Zeenaton Se Aaraasta Kiya jaye,
Jinko Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Hadith Me Bayan Kiya Hai,

"10 Cheezein Fitri Zeenat Hain,
Moonchh (Maustache) Ko Khoob Taraashna, Daadhi Poori Poori Chhodhna,
Miswaak Karna,
Naak Me Paani Daal Kar Saaf Karna,
Naakhun Kaatna,
Ungalion Ke Jodon Ko Dhona,
Baghal Ke Baal Ukhedhna,
Zer E Naaf Baal Moondhna,
Peshab Ke Baad Paani Se Istinja Karna,
Kulli Karna "

(Muslim)

Ameer Ul Momineen Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ki Khidmat Me Ek Maila Kuchaila Pur'gandah Baal Waala Ek Mard Aaya,
Saath Me Uski Biwi Bhi Aayi,
Kahne Lagi:-

"Aye Ameer Ul Momineen !
Mujhko Isse Chhutkaara Dilaaiyye"
Hazrat Umar Radiallahu Anhu Samjh Gaye Ki Ye Apne Shauhar Se karaahat Karti Hai,

Uske Shauhar Ko Huqm Diya Ke Jaao Ghusl Karo,
Sar Ke Baal Aur Naakhun Taraasho,
Jab Wah In Kaamon Se Faarigh Hokar Aaya Toh Huqm Diya Ke Biwi Ke Saamne Jaao,
Ab Jo Biwi Ki Nigaah Uspar Padi Toh Usko Ajnabi Mard Samjhkar Hat Gayi Lekin Kuch Der Me Pahchan Gayi Aur Apne Daawe Se Dast Bardaar Ho Kar Uske Saath Rahna Manzoor Kar Liya,
Uske Baad Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ne Aam Huqm Sunaaya...

"Logon !
Aurton ki Qurbat Wa Muhabbat Qaayem Rakhne Ke Liye Ye Sab Kaam Kiya karo,
Allah Ki Qasam Tumhari Biwiyan Tumko Isi Tarah Aaraasta Dekhna chaahti Hain Jis Tarah Tum Unko Aaraasta Dekhna Chaahte Ho"

(Adab Zawaaj Page-60)
*
Taalibe dua
Salamat Ansari

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा