Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat

Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat
***************************************
Sawaal:
Jinnaat Ki Kitni Qisme Hain??

Jawaab:
Jinnat ki 3 Qisme hain
1-Wo Jinn Jinke Par Hote hain Aor Wo Hawa me Udte Bhi hain

2-Wo jinn Jo Sanpon Ki Shaqal me Rehte Hain

3-Wo jinn Jo Insaano ki Tarah Hain

(Hayaatul Haiwan)

Sawaal:
Kis Qisam ke Jinnat Se Hisaabo kitab hoga??

Jawaab:
Tisri Qisam ke Jinnat Se Yaani jo Insaano
ki Tarah hai unse hisabo kitab Hoga
Akhirat me

Sawaal:
jinnat Zameen Par Kab Aabaad kiye
Gaye??

Jawaab:
Allaha Ta'ala ne Jinnat ko Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se 60000 Hazaar
Saal Pahle jinnat ko Zameen Me Basaya tha
(Tafseere Naimi jild 1 page 279)

Sawaal:
Jinnat zameen Par kitne Saalon Tak Abaad Rahe??

Jawaab:
Jinnat Zameen Par 7 Hazaar Saalon
Tak Abaad Rahe
(Tafseere Naimi jild 1 page 279)

Sawaal:
Jinnat ko Zameen Se Q Bhagaya Gya Aor Kisne Bhagaya??

Jawaab:
jinnat jab Zameen Par Abaad hue
To Unka AApas me Hasad Shuru hua
Unhone Zameen Me Fasaad kiya
Khoon Bahaya  Aor Qatal wa Gharat kiya
Iblees Us Waqt Tak Bohot Maqbool Bargaahe ilaahi Tha
use Huqm hua
Apne Saath Farishton ki
Ek jamaat leja Aor jinnaat ko
Zameen Se nikaalkar Pahaadon Aor Jaziron
ki Taraf Dhakel de

Chunache Iblees Ne Aisa kiya Usne Apne Sathiyon
ke Saath jinnat ko Maar Maarkar Pahaadon
Aor Jaziron mein Bhaga diya,
(Tafseer Naimi Jild 1 Page 179
Tafseer Ibne Kaseer Paara 1 Ruku 4)

Sawaal:
jinnaat  ko Zameen Se Bhagaane Ka Waqiya
Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se kitne Saal Pahle Ka Hai??
**********************
Jawaab:
Ye Waqiya Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se 2 Hazaar Saal
Pahle Ka Hai
(Tafseer Ibne Kaseer Paara 1 Ruku 4)
***********************************

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा