Posts

Showing posts from January, 2017

IRSHADAATE HUZOOR GAUSE AZAM

IRSHADAATE HUZOOR GAUSE AZAMZ alim Apne Zulm Se Mazloom Ki Duniya Kharab Karta Hai Aur Apni Aakhirat. Wo Insan kitna Bad Naseeb hai jis ke Dil Mein Jandaron par rahem karne ki aadat nahi. Jis Amal (Ibadat,Riyazat,Neki)MeinTujhe Halawat Na Mile,Yun Samajhke tu ne use Kiya hi Nahi. Behtareen Amal Logon ko Dena Hai,Logon Se Lena Nahin Hai .Bad Gumani Tamam Faaidon ke Raaste Band Kar Deti Hai. Tamam Acchaiyon Ka Majmooa Ilm Seekhna,Amal Karna,Aur Doosron Ko Sikhana Hai. Tere Sab Se Bade Dushman Tere Bure Hamnasheen Hai .Tu Nafs Ki Tamanna Poori Karne Me Mashgool hai.Aur Nafs Tujhe Barbaad Karne me. Khuda Ke Dushmano Ko Khush Rakhna Aqal Wa Danish Se Dur Hai. Apni Musibat ko Chhupao ALLAH TA'ALA ki Qurbat Naseeb Hogi. Fitna Hai Wo Rozi Jis Par Shukr naho,Aur Wo Tangi Jis Par Sabr Na Ho. Momin Apne Ahle o Ayal Ko ALLAH Per Chodta Hai Aur Munafiq Zar o Maal Par. Aqal Mand Pehle Qalb Se Mashwara Karta Hai Phir Zaban SeBolta Hai .Jo AL

KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM:

KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM: ******************* Taa'on Ke Marizon Ko Shifa Dena: ********************      Ek Martaba Baghdaad Me Taa'on Is Kasrat Se Hui Ki Rozana Hazaaron Log Marne Lage..! Logon Ne Aapse Is Baat Ki Shikayat Ki, Aapne Farmaya, Hamare Madarse Ki Ghaas Koot kar Marizon Ko Khilayi Jaye, ALLAH-TA'AALA Uski Barkat Se Shifa Dega Aur Taa'on Ki Bimaari Jaati Rahegi..! Logon Ne Aapke Hukm Ki Taamil Ki, Mariz Shifa Paane Lage..! Marizon Ki Zyada Tadaad Ki Wajahse Aapne Farmaya, Jo Hamare Madarse Ka Ek Katra Pani Pi Lega Use Bhi Shifa Hogi..! Logon Ne Aapke Madarse Ka Pani Pikar Shifa E Kaamila Haasil Ki Aur Taa'on Ka Marz Jata Raha Aur Aapke Zamane Me Ye Bimaari Dobara Nahi Aayi..! (Tafrikhul Khaatir, Pg-78) ********************** TASHRIH: ********* Aap ke Madarse Ki Ghaas Aur Pani Me Bhi ALLAH-TA'AALA Ne Shifa Rakhi Hain..! Aapne Ek Maqaam Par Farmaya Ki Jo Shaqsh Mere Madarse Se Ho kar Guzar Jaye Uspar Dozak Ki Aag Haraam Hain..!

SHARIAT WA TARIQAT---------------PART—2

SHARIAT WA TARIQAT---------------PART—2 Shariat Chand Halaal, Haraam, Fard Wajib Ke Masail Ka Naam Nahi Hai. Shariat Jism Wa Jaan,  Rooh Wa Qalb(Dill)  Aur Tamaam Uloom Ilahiyah,  Aur Lamutnahi(Jiski Koi Inteha Nahi) Moarif Sab Kee Jame’a Hai, Aur In Tamaam Cheezon Me Se TARIQAT Wa MAARIFAT Sirf Ek Tukde Ka Naam Hai. Isee Wajah Se Tamaam Auliya E Kraam Ke Qataee Ijma’a Se Fard Hai Ke Tamaam Haqaiq Ko Shariat Muthara Par Pesh Kiya jaye. Agar Wo Haqaiq , Shariat Ke Mutabiq Hon To Qaabil E Qabool Hain Warna Mardood Wa Ruswa Hain, To Yaqeenan Mutlaqan (Absolutely) Shariat Asl Kaar Hai, Aur Shariat Hi Sub Ka Daromadar Hai. Shariat Hi Kasauti Aur Ma’ayaar (Khare Khote Ki jaanch) Hai. Shariat Ke Maani Hai RAASTA, Aur Shariat Muhammadiya ( Salallaho Alehe Wasallam ) Ka Tarjuma Hai” MUHAMMADUR RASOOL ALLAH” Ka Raasta . Ye Maani Umoom(Aksar, Aam Tour Par) Wa Itlaaq(Aayed Hone Ke ) Ke Aitbar Se Tamaam ZAAHIR Wa BAATIN Ko Shaamil Hai, Sirf Chand Jismani Ehkaam Ke Saath Khaas Nahi. Yahi Wo Raas