KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM:

KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM:
*******************
Taa'on Ke Marizon Ko Shifa Dena:
********************
     Ek Martaba Baghdaad Me Taa'on Is Kasrat Se Hui Ki Rozana Hazaaron Log Marne Lage..! Logon Ne Aapse Is Baat Ki Shikayat Ki, Aapne Farmaya, Hamare Madarse Ki Ghaas Koot kar Marizon Ko Khilayi Jaye, ALLAH-TA'AALA Uski Barkat Se Shifa Dega Aur Taa'on Ki Bimaari Jaati Rahegi..! Logon Ne Aapke Hukm Ki Taamil Ki, Mariz Shifa Paane Lage..! Marizon Ki Zyada Tadaad Ki Wajahse Aapne Farmaya, Jo Hamare Madarse Ka Ek Katra Pani Pi Lega Use Bhi Shifa Hogi..! Logon Ne Aapke Madarse Ka Pani Pikar Shifa E Kaamila Haasil Ki Aur Taa'on Ka Marz Jata Raha Aur Aapke Zamane Me Ye Bimaari Dobara Nahi Aayi..!

(Tafrikhul Khaatir, Pg-78)

**********************
TASHRIH:
*********
Aap ke Madarse Ki Ghaas Aur Pani Me Bhi ALLAH-TA'AALA Ne Shifa Rakhi Hain..! Aapne Ek Maqaam Par Farmaya Ki Jo Shaqsh Mere Madarse Se Ho kar Guzar Jaye Uspar Dozak Ki Aag Haraam Hain..! Aapke Madarse Ki Be-Shumaar Barkaten Hain..! Ye Aisa Hi Hain Jaise Ki Sayyad E Aalam SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM Ne Farmaya, Ki Meri Qabr Aur Mimbar Ke Darmiyaan Jo Jagah Hain Wo Riyaaz E Jannat Hain..! Yani Jannat Ki Kiyaari..! Isliye Log Wahan Nafl Padhte Hain Taaki Bakshish Ka Sabab Bane..! Jo Riyaazul Jannat Me Pahunch Gaya Wo Goya Jannat Me Pahunch Gaya Aur Ye Ki Sayyad E Aalam SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM Jis Pani Me Luaab E Dahan (Thook) Daalte The Wo Bimaaron Keliye Shifa Ka Sabab Hota 

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा