Aqaaida
✯✰✮
✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
*```✧ Aqaaid ✧```*
*❆ Part - 15
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Nabi aur Rasool ✾*
*❧ Nabi aur Rasool ke baare mein zaroori aqeede :*
*(1)* Allah Ta'ala ne Nabi aur Rasool har mulk mein aur har qaum ki taraf bheje.
📓[Sura-e-Yunus: 47; Sura-e-Faatir: 24]
*(2)* Nabi aur Rasool sachche hote hain, kabhi jhoot nahin bolte, buri aadaton, bure kaamon aur chhote bade gunaahon se paak hote hain.
📓[Sharahul Aqaaidun Nasafiyya: 139 meem]
*(3)* Allah Ta'ala unhein apne bandon tak ahkaam pohnchaane ke liye muqarrar karta hai.
📓[Sura-e-A’araaf: 62; Sura-e-Ahzaab: 39]
*(4)* Woh Allah Ta'ala ke ahkaam bandon tak pohnchaane mein kotaahi aur kami ziyaadati nahin karte aur Allah Ta'ala ke ahkaam pohnchaane mein un se koi bhool aur galti nahin hoti hai.
📓[Sura-e-Yunus: 15; Sura-e-Najm: 2-4]
*(5)* Woh Allah Ta'ala ke ahkaam pohnchaane par bandon se koi muaawaza aur ujrat nahin lete.
📓[Sura-e-Saba: 47; Sura-e-Shu‘ara: 18]
[[..Next - 16, Soon In sha Allah..]]
✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
╔══◐══◐══┅♡◐♡┅═══◐══◐══╗
Comments