Kamao zarur gawao mat

Kuch log ayese hote hai jo kamne, mehnatmazduri karne se ji churate hai lekin kharch karne mai bade hi tez hote hai. Ayese log apni nahi balki parayi kamayi par Ayesha karna pasand karte hai. Aur kuch log ayese bhi hote hai jo badi mehenat-mashkkat aur lagan se kamate hai lekin apni kamayi ko sabhal kar nahi rakhte balki badi bedardi se khun-pasine ki kamayi ko pani ki tarah baha dete hai.Jabki samjhdari ka takaza to yaha hai ki lagan aur mehenat s halal tarike se kamaye, jayez aur jarori kamo mai kharch kare aur kal ke liye bhi kuch bach kar arkhe taki jarurat padne par kisi ke samne hath failane ki sharmnaak nawbat na aye. Islam ne musalmano ko dene ki talim di hai aru bila jarorat mangne, sawal karne se shakhti se mana kiya hai.Bilkul yahi haal hai dini mamlat ka bhi. Ham apna farz ada karne ki har mumkin koshish kare taki akhirat ki pakad se bach sake aur is ke sath yah bhi jarori hai ki ham apne amal mai khulus payeda kare. Ibadat, riyazat, haj wa jakat, sadka-khayratwagaira jayese kaam allah ki raza aur sawab ki niyat se kare, naam-namud ya dikhawe ke liye nahi. Riyakari se , dikhawakarne se banda sawab se maharum ho jata hai. Shayatan to hamesha issi taak mai rahta hai ki agar koi adimi uski chalo se bach-bacha kar koi ne kaam karne mai kamyab ho bhi jayeto uske sawab se mahrum kar diya jaye. Iske liye wah adimi ke dil mai tarah-tarah ke khayalat payeda karta hai taki kisi na kisi bahane adimi apni nekiya jahir karke uska sawab tabah kar dale.

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा