Nikah ki Fazilat
Hazraat aor mohtarma ye post ka silsila
Aaj se shuru ho rahi hai aap sabhi se guzaarish hai ise jitna ho sake baraye meherbaani sher karen
**
NIKAH IN ISLAM ( POST 1 )
NIKAH KI FAZILAT AUR MASAIL
Pleass read this post and sher
AssalamuAlaikum Warahmatullahi Wabarakatuh..
NIKAH KI FAZILAT
Nikah ka lugwi maana hai aisa contract jiske
nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho
jaayen
“nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke
bawajood nikah na kare wah nabi(sws) ke tareeqe
par
nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah
karta hai allah uski madad karta hai nikah na
karne se
zameen
me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni
miyan biwi
me muhabbat hoti hai aur kisi
me nahi hoti, nikah aadha deen hai mardo ke liye
aurton se badkar koi fitna nahi”
(mishkaat 268)
“kunwari larki se nikah karna behtar hai maal wa
khoobsoorti hasab
nasab
ka khyaal na kare balki deen daar aurat se nikah
kare,
musalman ke liye nek aurat se badhkar
aur koi cheez nahi hai jis nikah me
kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai,
jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar
dekh le
kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi,
nikah ke waqt Aurat se izazat
lena zaroori hai agar kunwari hai to
uska chup rahna kaafi hai aur
talaaqShuda ko zabaan se kahna chahiye,
bina sarparast ke nikah sahi nahi agar koi wali na
ho to
haakim wali
hai ek aadmi ke paighaam ke hote
dusre ko paighaam dena mana hai”
(mishkaat 262,266,269,268 )
JINSE NIKAH JAYEZ NAHI:
1- sauteli maa
2- sagi maa
3- beti
4-bahan
5- fufi
6- khala
7- bhateeji
8- bhaanji
9- dhoodh wali maa (daai)
10- saas
11- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho
12- sage beton ki biwi se
13- do sagi bahno se ek saath
nikah me biwi aur uski fufi ko jama
karna(yani ek sath inko nikah me rakhna haraam
hai) aur isi tarah biwi wa uski kh
aala ka jama karna bhi haram hai,
musalman mard ka nikah mushrika
aurat se aur musalman aurat
ka nikah mushrik mard se haraam hai,
behtar
hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi
se
nikaah kare isi tarah iman wali aurat
ghulam
se nikah kare magar mushrik mard se nikah na
kare,
( mishkaat, bukhaari, surah nisa)
JAWAAN AULAAD KI SHAADI:
“Jawan ladke aur ladkiyon ka nikah
kar dena
chahiye, hadith me hai agar ladki 12 saal ki ho
gayi ho aur
uska
nikah nahi huwa aur usse zina ho gaya to uska
gunaah baap par
hai,
iski tarah jab ladka baaligh ho jaaye to fauran
nikah
kar dena chahiye
warna agar zina kar baitha to uska gunah baap
par hoga”
(mishkaat 276)
“agar ek se zyada biwiyan ho
to unke
beech insaaf wa baari muqarrar karna wajib hai,
khilaane
pilaane wa raat
guzaarne me insaaf karna wajib hai
magar muhabbat me kami zyadati me koi pakad
nahi
(mishkaat 276)
agar pahli biwi ke hote huwe kunwari
aurat se
nikah kare to 7 raat kunwari
ke
paas rahe phir baari muqarrar kare, aur shadi
shuda aurat ko kunwari par
kare
to 3 raat uske paas
rahkar baari muqarrar kare, agar aurton ke saath
insaaf Na karega to
qayamat
ke
din is haalat me allah ke saamme laaya jaayega
ki uska aadha jism gira hoga
aur aurton ka mard par haq hai ki jo
khaaye
waisa hi khilaaye jaisa pahle waisa hi pahnaaye
iske munh
par
na maare, bura na kahe, naraazgi ki surat me
ghar se bahar
na
soye agar zarurat pesh aaye
to maamuli se maar maare, zabaan daraaz hai to
talaaq de de”
(tirmizi, mishkaat 279)
Allah Ta’ala in saare
masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye
Aameen
.
Comments