BIMAAR YA TABEEB

BIMAAR YA TABEEB
*****************
HIQAYAT:
********
Hazrat Sufiyan Sauri Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ek Dafa Bimaar Ho gaye To Khilafat E Waqt­ Jo Aapki Bahut Izzat Karta Tha Usne Ek qaabil Tabeeb (Doctor) Ko Aap ke Paas Ilaaj Karne Keliye Bheja..! Ye Tabeeb Aatish Parast Tha..! Usne Jab Aapka Karura Dekha (Yani Jaanch Keliye Peshaab Dekhna) To Kehne Laga Ki Maloom Hota Hain Ki Ye Khuda Parast Buzurg Hain..! Inka Jigar Khuda Ke Khauf Se Para-Para Ho gaya Hain..! Phir Kehne Laga Ki Jis Deen Main Aise Kaamil Log Ho Wo Deen Hargiz Baatil Nahi Ho sakta..!

Lihaza Main Musalman Hota Hoon..! Ye Kaha Aur Hazrat Ke Haath Par Tauba Ki Aur Musalman Ho gaya..! Khalifa E Waqt Ne Jab Ye Kissa Suna To Khush Hokar Kehne Laga Ki Maine Samjha Tha Ki Tabeeb Ko Bimaar Ke Paas Bhejta Hoon..! Haalanki Maine Khud Bimaar Ko Tabeeb Ke Paas Bhej Diya..!

(Tazkiratul Auliya, Pg-231)

******************************
SABAK:
******
ALLAH Ke Maqbool Bandon Ke Dilon Me Khuda Ka Khauf Rehta Hain..! Wo Khuda Se Nidar Aur Be-Baank Nahi Hote..!
Ye Bhi Maloom Hua Ki In Paak Logon Ka Karura Bhi Gumrah Keliye Mujib E Hidayat­ Banjata Hain..!
****************************

Jazakumullahu Khairan Kaseera

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा