Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen

Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾
Mehboob-e-Haq, Qutub-ul-Aqtaab, Qutub-ul-Islaam, Maalik-ul-Mashaa'ikh, Sultaan-ul-Tareeqat, Burhaan-ul-Haqeeqat, Ra'is-us-Saalikeen, Imaam-ul-Aamileen, Siraj-ul-Auliya, Taaj-ul-Asfia.

*************
Aap ki wilaadat 569 Hijri (1173 A.D.) me Osh, Merv-un-Naher, (Kyrgyzstan) me hui.
Aap ki wilaadat aadhi raat ko hui. Us waqt pure ghar me noor (roshni) chaa gaya aur aap ne sajde me jaakar ‘ALLĀH ALLĀH’ kaha.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Kamaal-ud-deen bin Sayyed Moosā rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadaat hain.

Aap ki waalida maajida farmaati hain ke ‘Hamal ke dino me jab me Tahajjud ki namaaz padhne ke liye uthti to mere pet me se Zikr (ALLĀH ALLĀH) ki aawaaz aati aur ye aawaaz ek ghadi tak jaari rehti thi.
*************
Aap ki umr 1 saal 6 mahine thi tab aap ke waalid ka inteqaal hua.

Aap ki waalida ne Shaikh Abu Hifs ke paas aap ki taaleem shuru ki.
Is tarah 5 saal ki umr me aap tasawwuf aur kalaam ki taaleem shuru kiye.

*************
Jab Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi safar karte hue Isfahan pahunche to aap ne Khwaja Ghareeb nawaaz ki bai'at ki aur Khwaja ne 17 saal ki umr me aap ko Khilaafat ata farmai.
Aur aap ko Hindustan jaane ke liye farmaaya. Aap mohabbat wa aqeedat ke saath Khwaja ke qadmo me jhuke. Khwaja ne aap ko uthaakar apne seene se lagaaya aur Dua aur naseehat ki. Phir aap Delhi ke liye rawaana hue.

Aap jab Multan pahunche to Hazrat Baha-ud-deen Zakariya rahmatullāhi alaihi ne aap ka istaqbaal kiya. Aap un ki sohbat me kuchh waqt ruke. Is dauraan Mongol lashkar ne Hindustan par hamla kiya. Multan ka baadshah Nasir-ud-deen Qabacha Baig aap ke paas aaya aur dua ke liye kaha. Aap ki dua se Mongol lashkar ki haar hui aur wahan se bhaag gaye.

Is ke baad 612 Hijri me aap Delhi pahunche to Sultan Shahaab-ud-deen Altamish aap ke isteqbaal ke liye aaye aur aap ko sheher me qayaam karne ke liye kaha. Magar aap ne Kelu Kheri me wuqoof kiya. Sultaan hafte me 2 baar aap se ziyarat ke liye aata. Baad me Sultaan ki ilteja par apne mureed ki pareshaani door karne ke liye aap Mehrauli aaye aur Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Nagori‎ ke makaan par rahe aur phir Ijaaz-ud-deen ki masjid ke qareeb rehne lage.

Hazrat Jamaal-ud-deen Bustami ke wisaal baad Sultan ne aap ko Shaikh-ul-Islaam ke ohde ke liye kaha. Aap ne inkaar kiya aur Najm-ud-deen Sughra ko Shaikh-ul-Islaam muqarrar karne ke liye farmaaya.

Sultaan ne aap ko 6 gaanv ki jaagir ata karna chaaha magar aap ne inkaar kiya.

*************
Khilafat milne ke baad aap roz 95 rak’at namaaz padhte the aur 3000 Durood shareef padhte the. Aap ki shaadi ke baad aap pehle 3 din tak ye nahi kar paaye. Huzoor sallallāhu alaihi wa Aalihi Wa  sallam ne Ra'is Ahmad naami ek nek shakhs ke saath aap ko paigam bhejkar is ki wajah puchhi. Aap ko apni galti pata chali aur aap ne fauran apni biwi ko tallaaq de diya aur tauba ki.
Is ke baad aap ne tamaam dunyaawi ta’alluqat chor diye aur Ibaadate ilāhi aur ALLĀH ta’ala ke zikr aur Hamd o sana aur Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa Aalihi Wa  sallam ki ita’at me lage rahe.

*************
Aap ke dusre nikaah ke baad aap ki biwi ne kuchh dino ke faaqa ke baad baqqaal ki biwi se udhaar lekar saaman laana shuru kiya. Ek baar baqqaal (dukaan wala) ki biwi ne aap se kaha ‘Agar main paise udhaar dena band kar du to tum aur tumhare bachche bhuke mar jaayen.’
Jab aap ko ye baat pata chali to aap ne apni biwi se farmaaya ‘Aaj ke baad kisi se kuchh na maangna. Aur jab bhi zaroorat ho to hujre ke kone me jaana. Waha tumhe Kaak (roti) milenge. Bismillāh padhkar use le lena.’ Aap ki biwi ne waisa hi karna shuru kiya.
Kai dino tak wo baqqaal ki biwi ke paas udhaar lene ke liye na gai to baqqaal ki biwi ne is ki wajah puchhi to aap ne sab haqeeqat bata di.
Ye baat logo ko pata chali aur aap ‘Kaaki’ ke laqab se mash'hoor ho gaye.

*************
Aap ki khaanqaah me jo kuch aata aap fauran use ghareebo aur haajatmando ko taqseem kara dete. Aap ne apne khaadimo ko farmaaya tha ki agar koi dusri cheez haazir na ho to khaanqaah me aane waale mureedo aur zaayerin ka paani dekar bhi isteqbaal kiya jaaye.

*************
20 saal tak aap puri raat jaagkar Ibaadat, Riyaazat aur Muraqaba karte the.

*************
Aap farmaate hain ‘Bahut koshish ke baad bhi main Qur’an ko hifz nahi kar saka. Ek baar Huzoor Sarware kaa'inat sallallāhu alaihi wa Aalihi Wa  sallam mere khwaab me tashreef laaye. Maine Aaqa ke qadmo me girkar  Qur’an hifz karne ki meri khwaahish paish ki. Aap ne mere liye hamdardi jatai aur mujhe apna sar uthaane ke liye farmaaya. Jab maine sar uthaaya to aap ne mujhe Surah al-Yousuf ki tilaawat karne ke liye kaha aur farmaya ye Surah tumhe Qur’an hifz karne me madad farmaegi.
Us ke baad maine Aaqa sallallāhu alaihi wa Aalihi Wa  sallam ke farmaan par amal kiya to aap ke karam se ALLĀH ta’ala ne mujhe Haafiz e Qur’an bana diya.’

*************
Aap ne kai baar Afghanistan, Iran aur Iraq ka safar kiya.

*************
Aap ne ‘Daleel-ul-Aarifeen’ kitaab me Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti Ajmeri rahmatullāhi alaihi ki taaleemaat aur dars wa naseehat ko jama kiya hai.

Is ke ilaawa Aap ki ‘Zudatul Khalaa'iq’ kitaab mash'hoor hai.

*************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek mataba Aap apne ahbaab ke saath Hauz e Shamshi ke kinaare baithe the. Ahbaab me se kisi ne kaha ke ‘Kya hi achha hota ke is sard hawa ke saath Kaak (garm rogni roti) bhi mil jaati.’
Aap ne hauz ke thande paani me dono haath daale aur garm rotiya nikaal kar Ahbaab ke saamne rakh di. Sab ne sair hokar khaaya.

(2) Multan me qayaam ke dauraan ek roz Aap Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Shaikh Jalaal-ud-deen Tabrizi rahmatullāhi alaihi ke saath ek jagah baithe hue the.
Ittela mili ke kaafiro ne Qila e Multan par hamla kar diya hai. Haakim e Multan Qabacha Baig ko Aap ne ek teer dekar farmaaya ke ‘Ye teer lashkare kuffaar ki taraf phenk do.’ Aap ke farmaan ke mutaabiq Qabacha Baig ne wo teer lashkare kuffaar ki taraf phenk diya.
Dusre din subah ko logo ne dekha ke ek kaafir bhi maujood na tha, sab bhaag gaye the.

*************
Aap ke wisaal ke 40 din qabl Khwaja Ghareeb nawaaz ne Ajmer me apne mureedo ko jama karke khitaab farmaaya ‘Tamaam kaa'inat ALLĀH ke noor se raushan hai. ALLĀH ta’ala ne mujhe is maqaam par bhejkar meri qayaam-gaah banaaya hai. Mere wisaal ke baad mujhe yahi par dafn kiya jaaye.’
Phir Khwaja ne apne shaagird Shaikh Ali Sanjari ko ek farmaan tayyaar karke Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ko dene ke liye kaha aur phir Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki ko apna khirqa aur tabarukaat dekar farmaaya ‘Main tumhe Delhi me apna Sajjaadanasheen (khalifa) banaata hoon. Ab se tumhe Delhi me hi sukoonat pazeer hona hai.’

*************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
Shaikh Ahmad aur Shaikh Muhammad.

*************
Aap Hazrat Khwaja Sayyed Moeen-ud-deen Hasan Chishti Ajmeri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke 27 khulfa hain :
jin me Hazrat Khwaja Fareed-ud-deen Mas'ood Ganje-shakar, Hazrat Khwaja Khizr Rumi, Hazrat Shaikh Badr-ud-deen Ghaznawi, Shaikh Barhaan-ud-deen Balkhi, Shaikh Husain Firoz Ali, Khwaja Hameed-ud-deen, Khwaja Mahmood aur Sultaan Shams-ud-deen Altamish rahmatullāhi alaihi mash'hoor hain.

*************
Ek baar aap namaaz e eid ada karne ke baad apne rishtedaaro aur mureedo ke saath waapas aa rahe the. Aap ek maqaam par kaafi der tak khaamoshi se khade rahe. Aap ke saathiyo ne aap se kaha ‘Aaj eid ka din hai aur log aap ka intazaar kar rahe hain.’ Ye sunkar aap ne farmaaya ‘Mujhe is zameen se ek kaamil insaan ki khushbu aa rahi hai.’
Is ke baad aap apne makaan par aaye aur khaana khaane ke baad aap ne apne mureedo se us zameen ka maalik kaun hai ye pata karne ke liye kaha. Jab maalik ka pata chala to aap ne us zameen ko khareed liya. Baad me usi maqaam par aap ko dafn kiya gaya.

*************
Ek baar aap ne mehfil e sama me Hazrat Ahmad Jaam se ek sher suna,
‘Kushtagaan-e-khanjar-e-tasleem raa,
Har zamaan az ghaib jaan-e-deegar ast.’
jis ka mafhum ye tha ki
‘Jo log tasleem  (ita’at) ke khanjar se fana ho jaate hain,
Wo ghaib se nai hayaat paate hain.’

Is sher ka aap  par aisa asar hua ke aap be-hosh ho gaye aur aalame wajd (be-hoshi) me aap lagaatar isi sher ko padhte rahe aur 4 din isi haal me rehne ke baad aap ka inteqaal hua.

************
Aap ke wisaal ke baad aap ki wasiyat ko padha gaya to us me likha tha ki ‘Sirf wo hi shakhs meri namaaz e janaaza padhaaye jis ne kabhi koi haraam kaam na kiya ho aur jis ki asr ki sunnat namaaz kabhi na chhuti ho.’ Kuchh der tak tamaam majme me khaamoshi chha gai. Aakhir me Sultaan Altamish ne aankho me aansoo ke saath aage aakar farmaaya ‘Main khud ko logo ke saamne zaahir karna nahi chaahta tha. Magar Khwaja ki wasiyat ne mujhe majboor kar diya. Ab mujhe hi aap ki namaaz e janaaza padhaani hogi.’

*************
Aap ka wisaal 14 Rabi’-ul-awwal 633 Hijri (27 November 1235 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Mehrauli, Delhi me Qutub Minar ke qareeb hai.

***********
Ek martaba aap ki baargaah me bahot saare mureedeen haazir the. Aap ne ek shaqsh ko paas bulaakar farmaaya ‘Ye 5 dirham le lo. Mere kafan ko mat churaana.’ Us shakhs ne kaha ‘Huzoor! Tauba karta hu. Kabhi chori nahi karunga.’
Aap ke wisaal ke baad wo shaqsh bhi aap ki namaaze janaaza me aur tadfeen me shaamil hua. Paise ki laalach me us ne Hazrat ka kafan churaane ka iraada kiya. Jab saare log chale gaye to us ne aap ki qabr ko khodna shuru kiya. Us ne mehsoos kiya ke qabr mubarak se khushbu aa rahi hai.
Jaise hi us ne kafan ko haath lagaaya ke Aap ne us ka haath pakad liya. Wo chillaane laga ‘Sarkaar! Chor dijiye. Maaf kar dijiye.’
Aap ne farmaaya ‘Jannati hokar jannati ka kafan churaane aaya hai?’ Us ne kaha ‘Huzoor! Main kaise jannati ho gaya? Main to gunaahagaar hu. Aap ke mana karne ke baad bhi Aap ka kafan chori karne aa gaya.’
Aap ne irshaad farmaaya ‘Jaakar puri Delhi me elaan kar de ke ‘Jis jis ne Qutb-ud-deen ki namaaz e janaaza me shirkat ki hai ALLĀH ta’ala ne un sab ke gunaaho ko maaf karke jannat ata farma di hai.’

***********
Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ba-adab aap ke mazaar mubarak par ziyarat wa faatiha ke liye aate the.
Ek roz Hazrat ziyarat ke liye tashreef laaye aur Hasbe aadate qadeema aastana par Faatiha wa Durood shareef padhkar waapas jaa rahe the tab dil me khayaal aaya ke ‘Kya maaloom Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ko mere aane ki khabar bhi hoti hai ya nahi?’ Abhi wo ye soch rahe the ke mazaar shareef se aawaaz aai ‘Mujhe apni hi tarah zinda samjho. Tum agar jism se aate ho to main jaan se aata hu. Tum ne mujhe Durood ka tohfa bheja aur main tum ko Durood o Salaam ka hadiya bhejta hoon.’

**************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa Aalihi Wa  sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi ke aur Ahle bait aur Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke imaan ki hifaazat farmaye aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmaye.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaye aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmaye.
Aameen.

Jazakumullahu Khairan Kaseera

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा