JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 27
*******************************************
ZAHIDANA ZINDAGI
**************
Aap SHAHENSHA E KONAIN aur TAJDARE DO AALAM hote hue aisi zahidana aur sada zindagi basar farmate the ki tareeq E nabuwat me iski misaal nahi mil sakti..! khurak wa poshak,makan wa saman,rahen-sahen garaz hayat E mubaraka ke har goshe me apka zuhad aur dunya se be-ragbati ka alam is darje numaya tha ki jisko dekh kar yahi kaha ja sakta tha ki dunya ki nemate aur lazzate apki nigah e nabuwat me ek macchar ke par se bhi ziyada zaleel wa haqeer hai.!
HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA ka bayan hai ki HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ki muqaddas zindagi me kabhi 3 din lagatar aise nahi guzre ki apne shikam sair hokar roti khayi ho..!ek-ek mahine tak kashana E nabuwat me chulha nahi jalta tha..!aur khajure wa pani ke siwa aapke ghar walon ki koi dusri khurak nahi hua karti thi..!
halan ki ALLAH TA'ALA ne apse farmaya ki "Aye HABEEB..!agar aap chahe to mai Makkah ki pahadiyon ko sona bana doon..!magar aapne isko  kiya aur bargah e KHUDAWANDI me arz kiya ki Aye MERE RABB.. !mujhe yahi ziyada mehboob hai ki mai ek din bhuka rahun aur ek din khana khaun, taa ke  bhook ke din khoob gidgida kar tujhse duwayen Maangu...!aur aasudgi ke din teri hamd karun aur tera shukr baja laun.
[SHIFA SHAREEF JILD 1 SAFA 82WA 83]

Jazakumullahu Khairan Kaseera

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा