JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 28
****************************************
ZAHIDANA ZINDAGI
**********
HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA ne bataya ki HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM jis bistar par sote the wo chamde ka gadda tha jis me rui ki jagah darkhto ki chaal bhari hui thi.
HAZRAT HAFSA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA kehti hai ki meri baari ke din HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek mote taat par soya karte the jisko mai do taih karke bicha diya karti thi.ek martaba maine us taat ko chaar (4)baar taih karke bicha diya to subah ko aapne irshad farmaya ki pehle ki tarah is taat ko tum dohra karke bicha diya karo .kyun ki mujhe andesha hai ki is bistar ki narmi se kahin mujh par gehri neend ka hamla ho jaye to meri namaze tahajjud me khalal paida ho jayega.Riwayat hai ki kabhi kabhi HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek aisi chaarpayi par bhi araam farmaya karte the jo khurdare baan se buni hui thi .jab aap bagair bichone ke us charpayi par let te the to jisme nazuk (mubarak )par baan ke nishaan pad jaya karte the .
(SHIFA SHAREEF JILD 1 SAFA 82 WA 83)

Jazakumullahu Khairan Kaseera

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा