KABUTER KE BACHCHE

HIQAYAT:
**********
Ek Araabi Apni Aastin Me Kuch Chupaye Hue Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Kehne Laga, Aye Mohammad (SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM) Agar Tu Bata De Ki Meri Aastin Ke Andar Kya Hain? To Main Maan Lunga Ki Waqayi Tu Sachcha Nabi Hain..! Huzoor Ne Farmaya, Waqayi Imaan Le Aaoge? Usne Kaha, Haan, Waqayi Imaan Le Aauga..! Farmaya, To Suno, Tum Ek Jungle Se Guzar Rahe The..! Tumne Ek Daraqt Dekha Jispar Kabutar Ka Ek Ghonsla Tha..! Us Ghonsle Me Kabuter Ke 2 Bacbche The..! Tumne In Dono Bacchon Ko Pakad Liya..! Bachchon Ki Maa Ne Jab Dekha To Wo Maa Apne Bachchon Par Giri To Tumne Use Bhi Pakad Liya..! Wo Dono Bachche Aur Unki Maa Is Waqt Bhi Tumahre Paas Hain Aur Is Aastin Ke Andar Hain..!
     Araabi Ye Sunkar Hairaan Reh Gaya Aur Jhat Pukaar Utha
"Ash-Hadu-Al-La-Ilaha-Illallah-Wa-Ash-Hadu-Anna-Ka-Rasoolullah"
(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-21)
*******************************
SABAQ:
*******
Hamare Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM Se Koi Cheeiz Panha Na Thi..! Ek Araabi Bhi Is Haqiqat Ko Jaanta Tha Ki Jo Nabi Ho Wo Gaib Jaan Leta Hain..! Fir Jo Bara E Naam Padha Likha Hokar Huzoor Ke Ilm Ko Taslim Na Kare Wo Ujjad Aur Ganwaar Se Bhi Zyada Ujjad Aur Gawaar Hua Ya Nahi?
**********************

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा