KAMSIN LADKA

KAMSIN LADKA:
**************
HIQAYAT:
********
Hazrat Abdullah Ibne Waasan Rehmatullah Ta'aala Alaihi Farmate Hain Ki Maine Ek Dafa Basre Ke Bazaar Me Ek Ladke Ko Dekha..! Jo Ro Raha Tha..! Maine Usse Pucha, Beta..! Kyun Rote Ho? Bola, Dozaq Ki Aag Se Dar Kar Ro Raha Hoon..! Maine Kaha Ki Tum Kamsin Ho Tumhe Dozaq Ki Aag Se Kya Dar Hain? Wo Bola, Maine Apni Maa Ko Dekha Hain Ki Jab Wo Choolah Jalati Hain To Badi-Badi Lakdiyon Ko Jalane Keliye Niche Choti-Choti Lakdiyan Bhi Rakh Deti Hain, To Yun Darta Hoon Khuda E Ta'aala­ Bade-Bade Nafarmaano Ko Jalane Keliye Mujh Jaise Choton Ko Bhi Aag Me Na Daal De..!
Main Us Kamsin Ladke Ki Guftagu Se Bada Mutassir Hua..! Usse Kaha, Beta..! Kya Tum Mere Paas Rehna Manzoor Karoge? Wo Bola, Haan..! Magar Chand Sharton Par Ki Mujhe Bhook Lage To Khana Khilao..! Pyaas Lage To Pani Pilao Aur Main Marjaun To Mujhe Zinda Kerdo..!
Maine Kaha, Beta..! In Sab Baaton Par Main Qudrat Nahi Rakhta, To Wo Bola, To Fir Jayiye Apna Kaam Kijiye..! Main Jis Aaqa Ke Dar Par Mulazim Hoon Wo In Sab Baaton Par Qaadir Hain..!

(Rauzur-Riyahee­n, Pg-94)

**********************
SABAQ:
******
ALLAH Ke Azaab Se Darte Rehna Chahiye..! Ye Bhi Malum Hua Ki Pehle Zamane Ke Chote-Chote Bacche Bhi ALLAH Ke Azaab Se Darte The!.. Aajkal Bade-Bade Bhi Gaflat Ki Zindagi .

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा