Mere Peer O Murshid Ki
(اللہ کی رحمت ہر دل کے لیے ایک جیسی ہے)
Mere Peer O Murshid Ki Taalimaat aur Irshadaat Ki Kuch Baaten Aap Sab Se Share Kar Rahe Hain.
سمندر سب کے لیے ایک جیسا ہی ہوتا ہے لیکن کچھ لوگ اس میں سے موتی تلاش کر لیتے ہیں ، کچھ مچھلیاں پکڑ لیتے ہیں اور کچھ کو سمندر سے کھارے پانی کے سوا کچھ بھی نہیں ملتا ۔
بادل سے برسنے والا پانی ایک جیسا ہی ہوتا ہے ۔
زرحیز زمین اسی پانی سے سبزہ اگا لیتی ہے ،
صحرا کی ریت اس پانی سے اپنی پیاس بجھاتی ہے اور وہی پانی چکنے پتھروں کو محض چھو کر گزر جاتا ہے ۔
اللہ کی رحمت ہر دل کے لیے ایک جیسی ہے
اب یہ ھم پر ہے کہ ہم پر اسکا کتنا رنگ چڑھتا ہے۔
" اور اللہ کا رنگ سب رنگوں سے بہتر ہے.
Translation:
(Allah ki Rehmat har Dill Ke liye Ek Jaisi hoti hai )
Samandar sab ke liye ek jaisa hota hai lekin kuch log is me se Moti talash karlete hain,
kuch log Machliyan pakad late hain, aur kuch ko Samandar se Khare pani ke siwa kuch nahi milta.
Baadal se baarish wala pani ek jaisa hota hai, Zarahiz-Zameen is pani se Sabzah Ugaa leta hai,
Sehra ki Reth is pani se pyass bujha ti hai aur wahi paani Chikne Pathar ko mehaz chukar Guzar jati hai,
Allah Ta'ala ki Rehmat har Dil par Ek Jaisi hai,
Ab ye hum par hai ke hum par iska kitna Rang Chadta hai,
Aur ALLAH ka RANG sab rango'n se behtar hai.
Jazakumullahu Khairan Kaseera
Taalib E Dua,
Aap sab ka Ek Adna Aur Haqeer Bhai,
Comments