SULATANUL HIND HAZRAT KHWAJA MOINUDDIN CHISTY R.A.

SULATANUL HIND HAZRAT KHWAJA MOINUDDIN CHISTY R.A.

Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. 14 Rajab 536 Hijri ko Junubi Iraan ke ilaqe Sia-Istan ke ek doulat mand gharane me paida hue, Aap r.a. Nasali aiterbar se Sahi-ul-nasab the, Aaap ka Shijrah-Aalia Barah(12) waston se Ameerul Momineen Hazrat Ali karimallah wajha A.S. se jaa milta hai, Aap ke walide grami Khwaja Gayasuddin Hussain r.a. bohot doulatmand tajir aur ba-asar the,  Halanke kasrtat maal doulat ko Quran e hakeem me sab se bada fitna qaraar diya gaya hai, Magar Khwaja Gayas Hussain r.a. sahebe jaidat honeke sath sath ek aabid wa zahid shaqs the, Doulat ki farawni ke bawajud Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. bachpan se he qina’at pasand the.

Jiss zamane me Aap r.a. ki wiladat hui wo bada pur ashoob dour tha, Siyaistan aur Qarasaan sheher loot maar ki zad me the, har taraf afra tafri ka alam tha, Sersabz wa Shadab ilakhon me Aag badh rahi thi,  aur khoobsurat sheher khhandero me tabdeel horahe the, Millate Islamia me kai firqe paia ho chuke the, jo badi berehmi se ek dusre ka qhoon baharahe the, ‘Milahida’ aur ‘Baatyu’ ki jamaton ne poore mulk me qatl wo gharat ka bazaar garm kar rakha tha.

Yahi wo khoon rang aur zehri alood fiza thi jis ne Khwaja Gayasuddin r.a. ko tarke wathan par majboor kardiya, Aap ahle khana ko le kar qirasaan chale aaye, Iss waqt Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. Ki umar muabarak Ek baras ki thi, Khwaja Gayasuddin Hussain r.a. ka qayal tha ke inhe aarzi qirasan me koi na koi  goshaye afiyat zarur mil jayegi, magar gardish ayyam ke yaha bhi wahi alam the, jahan guzarte wahan bhi fitne sar utha rahe the.

549 Hijri me khooni sailab saron se guzar gaya, is waqt Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. umar 13 saal thi. Ta’aws aur Nishapur ke Shehron me zalimon ne aisa zulm kiya aur is qadar khoon bahaya ke wahan ek bhi inssan zinda na bacha, Har taraf Lashon ke anbaar lage hue the, Nishapur ke mazloomon aur Jame Shahadat Nosh karne walon me Sipahi aur Awaam hi me shamil na they, bade bade Ulama E Faazila, Aulia, Abrar, Taqiyan bhi shamil the, Nishapur jo indino Ilm wa fazal ka gehra tha, ise bhi qaak me miladiya gaya Laibrario, Darsgaho ko aag lagadi gai,

Inhi par-aashub halaat aur afaton se ladte jhagadte Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. ne parwarish payi, Aur apne ankhon se Musalman ke khoon ke dariya behte hue dekhe, Kabhi Kabhi Aap nihayat raqth amaiz lehje me apne walid Khwaja Gayasuddin Hussin r.a. se sawal kerte, “ Baba..! Khoon Muslim ki ye Aarzani kabtak Jari rahe gi?“,

Nau umar Farzand ka sawal sun kar walidegrami rone lagte aur farmate “Bete ! Ye Khooni Hawaye Ahle Imaan ke liye Aazmaish hai, tumhe sabr se kaam lete hue ache waqt ka intezar karna chahiye“.

Phir Ek din Sabar ki talqeen dene wala baap bhi 551 Hijri ko duniya se ruqsat hogaya, Iss waqt Aap r.a. ki umr 15 saal thi, Aap r.a. iss nazuk aur darindagi se labrez dour me ek shafaqat aur meherbaan baap ke saye afiat se mehroom hochuke the, Walidegrami ki rihalat par aap har waqt udaas rehne lage, Aaise lamhat me Aap ki walida majida Hazrat Bibi Noor r.a. ne badi istiqamat ka saboot diya aur bade housle ke saat bete ko samjhaya.

Farzand..! Zindagi ke safar me har musafir ko tanhai ke aziaton se guzarna padhta hai, agar tum abhi se apni taklifo ka matam karne baith gaye to zindagi ke dushwar guzaar raaste kaise tai karoge.

Utho aur apni puri tawannai se apni zindagi ka safar shuru karo, Abhi tumhari manzil bahut door hai,  Ye walid se mohabbat ka saboot nahi ke tum din raat unki yaad me aansu bahate raho, Awlaad ki walidain keliye haqiqi mohabbat ye hoti hai ke wo apne har amal se buzurgon ke khwaab ki taabir paish kare, Tumhare baap ka ek hi khwab tha ke inka beta Aalim wa Fazil me kamaal hasil kare, Chunache tumhe apne tamamtar salahiate talim ke husul keliye hi sarf kerdeni chahiye,  Mader grami ki tasalli se Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. ki tabiat sambal gai aur Aap zyada shouq se Ilm hasil karne lage, magar sukoon wa rahat ki ye mohlat bhi zyada taweel na thi mushkil se ek saal hi guzra hua hoga ke Aap ki walida Hazrat Bibi Noor r.a. bhi Qalikh-E-Haqeeqat se Jaa mili, Ab Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. iss duniya me akele reh gaye.
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

Jazakumullahu Khairan Kaseera
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा