»TASHRIF AAWARI

»TASHRIF AAWARI«•
********************
Read this post
*************
HIQAYAT:-
********
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Jab Wiladat Sharif Hui! Us Waqt Huzur Ke Daada jaan Hazrat Abul Muttalib Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu qaaba Sharif Ki Dewaar Ki Taamir Me Mashgul The! Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Main Qaaba Sharif Ka Tawaaf Kar Raha Tha Ki Achanak Qaaba Sharif Chaaron Taraf Zhukta Nazar Aaya Aor phir Makaam-A-Ibrahim May Sazda Me Gir Gaya Aor Usme Se Takbir Wa Tahlil Ki Awaazen Aane Lagi! Phir Wo Sidha Khada Hogaya, Isse Awaaz Aayi-
"Sab Tarif Us ALLAH Keliye Hain Jisne Mujhe Mohammad SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Saath Maqsus Farmaya!"

Phir Arkaan-A-Qaaba Aapas Me Ek Dusre Per Salaam Bhejne Lage! Hazrat Abdul Muttalib Farmaate Hain Ki Main Baab-A-Safa Se Baahar Nikla To Zamin Ki Har Chiz Mujhe Takbir Wa Taahlil Me Mashgul Nazar Aayi! Main Unki Awaaz Soon Raha Tha! Phir Yeh Awaaz Suni Ki-
"Tumahre Paas Rasool SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Tashrif Le Aaye, phir Maine Boothon Ko Dekha To Wo Aundhe Mooh Gire Hue Nazar Aaye! Main Apni Aankhen Malne Laga Ki Yeh Jo Kuch Main Dekh Raha Hoon Aalam-A-Bedaari Me  Hain, Ya Aalam-A-Gaib Me Dekh Raha Hoon! Jab Ghar Pahuncha To Ghar Ke Irdh-Girdh Ajeeb Wa Gareeb Noorani Parinde Udte Dekhe Aor Ghar Se Mushk Wa Amber Ke Hulle Uthte Nazar Aaye! Maine Darwaza Khat-khataya To Aamina (Radi-Allahu-Ta'aala-Anha) Khud Nikli Aor Darwaza Khola! Maine Dekha Ki Aamina Ke Chehre Par Koi Zauf Wagaira Ka Asar Nahi Tha! Haan Uski Peshani Par Jo Noor Chamakta Nazar Aaya Tha Wo Nazar Na Aaya! Maine Pucha, Aamina! Peshani Ka Wo Noor Kahan Hain? To Boli, Mere Yahan Ek Baccha Paida Hua Hain Jiski Wiladat Ke Baad Haatif Se Mujhe Awaaz Sunayi Di Hain Ki Iska Naam Mohammad Rakhna! (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Isliye Ki-
"Iska Aasmaano Par Naam Mahmood Hain Aor Tauraat Me Mawid, Zaboor May Haadi, Injeel May Ahmed Aor Quraan Me Taha, Yaseen Aor Mohammad Hain!"
Hazrat Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Maine Aamna Se Kaha, Chalo Mujhe Mera Pyara Baccha Dikhao! Chunanche, Jab Main Aage Bada To Ek Azim Shaks Talwaar Khinche Raaste Me Khada Nazar Aaya! Jisne Aage Badne Se Roka! Abdul Muttalib Dar Gaye! Pucha Ki Tum Kaun Ho? Q Rokte Ho? Wo Bola, Is Muqaddas Mauludh Ki Jabtak Saare farishte Ziyarat Na Kerlege Kisiko Aage Jane Ki Ijazat Nahi! Main Isi Kaam Keliye Yahan Maujudh Hoon!

(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-76)
******************************

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा