KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM:
KARAMAAT E GHOUSE E AAZAM:
***********************************
KASHF WA KARAMAAT:
*************************
Buzurgon Ki Ek Jamaat Ne Aapki Is Karamaat Se Riwayat Kiya Hain..! Waqiya Yun Hain Ki Ek Aurat Hazrat Ghouse E Aazam Radi-Allahu-Anhu Ki Khidmat Me Apna Beta Lekar Aayi Aur Aapse Kaha, Huzoor..! Ye Mera Ladka Aapse Badi Muhabbat Wa Aqidat Rakhta Hain..! Isliye Maine Iske Liye Isko Apna Haq Baqsh Diya..! (Apne Bachche Ko Aapke Hawale Kar diya) Aap Ise Apni Ghulami Me Le Lijiye..!
Chunanche, Aapne Us Bachche Ko Qabool Kar liya Aur Usko Riyazat Wa Mujahida (Chilla-Kashi Wagaira) Ka Hukm Diya..!
Ek Roz, Maa Apne Bete Ko Dekhne Ke liye Aayi To Usne Bhook Aur Jaagne Ki Wajha se Dubla Aur Kamzor Paya Aur Usko Jau Ki Sukhi Roti Bhi Khate Hue Dekh Liya..! Wo Bachche Ki Muhabbat Ki Wajha se Pareshaan Ho Uthi Aur Aapke Paas Uski Kamzori Ki Shikayat Lekar Pahunch Gayi..!
Ittefaaq Se Aap Us Waqt Khana Kha Chuke The, Khane Me Ek Murgi Ka Gosht Tha Jise Aapne Kha Kar Haddiyan Plate Me Rakh Chori Thi..! Us Aurat Ne Jab Plate Me Haddiyan Dekhi To Bol Padi, Mere Aaqa Aap To Murgi Ka Gosht Khate Hain Aur Mere Bete Ko Jau Ki Sukhi Roti Khilate Hain..!
Us Aurat Ki Zubaan Se Ye Jumla Sunkar Aapne Apna Dast E Mubarak Haddiyon Ke Upar Rakh kar Kaha..
Khadi Ho Ja Us Paida Karne Wale Ke Hukm Se Jo Sadi-Gali Haddiyon Ko Zinda Karta Hai, Wo Zinda Hokar Khadi Ho gayi Aur Bolne Lagi..!
Aapne Aurat Ki Taraf Muqatib Hokar Farmaya, Aye Aurat..! Jab Tera Beta Is Darje Par Pahunch Jayega To Jo Chahega Khayega..!
(Wahjatul Asraar)
(Seerat E Ghouse Ul Aazam
Comments