KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM

KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM

   

Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Zamana Paane Ki Khaber Dena


Aapke Sahaab-Zaade Hazrat Abdul Wahab Rehmatullah Alaihi Ke 5 Bete The! Un Mayse Ek Hazrat Sayyad Jamalullah Aapke Hum-Shakl Aur Hum-Shabih Aur Nihayat Khub-Sirat The! Aapne Unse Farmaya Ki Teri Umr Lambi Hogi, Tu Zamana Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Payega! Mera Salam Unki Khidmat May Pahuchana!

To Wo Abhi Zinda Aur Maujudh Hain Aur 7 Abdaal Mayse Ek Abdaal Hain Aur Shaher Bistaan May Tehre Hue Hain!

(Masalikul Saalikeen, Pg-345)



       TASHRIH

   ✴✴✴✴✴✴

Is Karamat Se Malum Hua Ki Hazrat Sayyad Jamalullah Rehmatullah Alaihi, Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ke Zamane Se Zinda Hain Aur Zinda Rahege, Yahan Tak Ki Wo Hazrat Isa Alaihi Salam Ka Zamana Pa Lege! Jabki Hazrat Isa Alaihi Salam Chauthe Aasmaan Se Duniya May Dobara Tashrif Layege, Jaise Ki Hadees Sharif May Aaya Hain! Hazrat Sayyad Jamalullah Rehmatullah Alaihi Ki Us Waqt Maut Nahi Hogi Jabtak Ki Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ka Salam Hazrat Isa Alaihi Salam Ko Na Pahucha De!

Kyonki Hazrat Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ka Farmaan Saccha Hain Aur Pura Hoker Rahega!

Hazrat Jamalullah Rehmatullah Alaihi Un 7 Abdaalon Mayse Ek Hain Jo Shaher Bistaan May Hain!

Isse Malum Hua Ki Aapko Koi Nahi Pehchaanta Hoga Siwaye Auliya-A-Kaamileen Ke!

Dusra Jaise Ki Hazrat Khizr Alaihi Salam Ko Hamesha Ki Zindagi Mili, Aab-A-Hayaat Pine Ki Wajahse Yani Qayamat Tak Aap Zinda Rahege, Fir Qudrati Maut Aayegi Uski Jaise Hazrat Jamalullah Rehmatullah Alaihi Ka Maumla Hain Ki Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ke Zamane Se Hazrat Isa Alaihi Salam Ke Zamane Tak Aapka Zinda Rehna Saaf Hain, Iske Baad Bhi Kabtak Rahege Iska Zikr Nahi! Yeh Aapki Azim Karaamaton Mayse Hain!

                      ✴❇✴❇
Malum Hua Ki Hazrat Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ka Farmaan Aab-A-Hayaat Ka Darja Rakhta Hain!

✴❇✴❇✴❇✴❇✴❇✴❇✴❇✴❇✴❇✴

www.facebook.com/Arzooemadeena
www.Arzooemadina.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा