ANDHA PARINDA


Sachhi Hiqayat






Hazrat Anas Razi-Allahu-Anhu Farmate Hain Ki, Ek Din Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA SALLAM


 Ke Saath Ek Jungle Me Tha Ki Aapne Ek Andhe Parinde Ko Ek Daraqt Par Thonge Maarte Hue Dekha Aur Mujhse Farmaya, Aye Anas..! Jaante Ho Ye Parinda Kya Keh Raha Hain? Maine Arz Kiya, ALLAH Jaane Ya Uska Rasool..! Huzoor Ne Farmaya, Ye Keh Raha Hain, ILAAHI ! Tune Mujhe Andha Bhi Kiya Aur Bhooka Bhi..!
Itne Me Ek Tiddi Udhti Hui Aayi Aur Uske Munh Me Aakar Giri..! Us Parinde Ne Use Kha Liya..! Wo Parinda Phir Thonge Maarne Laga..!


Huzoor Ne Farmaya, Aye Anas..! Jaante Ho Ki Abb Wo Kya Keh Raha Hain? Maine Arz Kiya Ki Huzoor Aap Hi Jaane..! Huzoor Ne Farmaya, Aye Anas..! Abb Ye Keh Raha Hain Ki Jisne ALLAH Par Tawakkul Kiya ALLAH Uska Kaam Pura Kardeta Hain..!
(Nujjahtul Majalis/Jild:01/Page:442)
*********
SABAQ:
**
ALLAH-TA'AALA Par Tawakkul (Bharosa, Ummid) Rakhne Se Saare Kaam Pure Hojate Hain..!
********

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा