HAZRAT ALI RAZIALLAHU TA'ALA ANHU KI KARAMAT

HAZRAT ALI RAZIALLAHU TA'ALA ANHU KI KARAMAT

HIQAYAT



Ek Shaks Ne Hazrat Ali Razi-ALLAHU TA'AALA-Anhu Se Arz Kiya Ki Janaab

Mera Iraada Safar Ka Hai Magar Me Jungli Darindon Se Darta Hoon Aapne Usse Ek Anghuti Dekar Farmaya
Jab Tere Nazdiq Koi Khaufnaak Jaanwar Aayen To Fauran Keh Dena Ki Ye Ali Ibne Talib Ki Anghuti Hai

Iske Baad Us Shaks Ne Safar Kiya Aor Ittefaaq Se Raah Me Ek Jungli Darinda Uspar Hamla Karne Dauda Usne Pukaarkar Kaha

Aye Darinde Ye Dekh Mere Paas Ali Ibne Taalib Ki Anghuti Hai Darinde Ne Jab Hazrat Ali Ki Anghuti Dekhi To Apna Sir Aasmaan Ki Taraf Uthaya Aor phir Wahan Se Daudta Hua Kahin Chala Gaya
Ye Musaafir Jab Safar Se Waapas Aaya To Isne Saara Kissa Hazrat Ali Ko Sunaya,To   Aapne Farmaya

Us Darinde Ne Aasmaan Ki Taraf Mooh Karke Ye Qasam Khayi Thi Aor Kaha Tha Ki Mujhe Rab Ki Qasam
Me Is ilaake Me Bilkul Hargiz Na Rahoonga Jisme Log Ali Ibne Taalib Ke Saamne Meri Shikayat Karen

(Nujjahtul Majalis Jild 2, Pg-351)

SABAK
  • Sher-E-Khuda Razi ALLAHU-TA'AALA Anhu Ka Roaab Wa Dabdaba Jungli Sheron Aor Darindon Pr Bhi Tha


Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा