KARAMAAT-A-GAUS-AAZAM

  KARAMAAT-A-GAUS-AAZAM
    ***************************
  Be-Aulaad Aadmi Ko Beta Ata Kiya Yani Muhiuddin Ibne Arbi Rehmatullah Alaihi

   

Shaikh Ali Bin Mohammad Arbi Bade Maaldar The Magar Aulaad Na Hone Ki Wajahse Ghamgeen Rehte The! Jis Mazzub, Saaliq Ya Wali Ke Paas Jate, Har Jagah Yahi Sunne Ko Milta Ki Yeh Dard La-Ilaah Hain! Teri Kismat May Beta Ya Beti Kuch Bhi Nahi Hain! Jab Unohne Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ki Shoharat Suni To Haazir-A-Khidmat Huwe Aur Minnat Samaj Ke Sath Matlab Zabaan Per Laye! To Aapne Apni Peet Unke Peet Se Ragdi Aur Farmaya Ki Maine Ek Ladka Apni Sulb Se Tujhe Diya, Yeh Ladka Maqbool-A-Bargah Ajadi Aur Kutub-A-Zamana Hoga! Uska Naam Muhiuddin Rakhna!  To Hazrat Muhiuddin Ibne Arbi Paida Huwe! Wo Unko Leker Haazir-A-Khidmat Huwe! Aapne Dekhker Farmaya " 🌹*SUBHANALLAH*🌹 " Kaisa Beta Paida Hua Hain Ki Tamaam Raaz Jinko Auliya-A-Naamdar Chupaker Rakhte The Uneh Batayega!


(Masalikus-Saalikeen, Pg-344)


******************************
🌷*TASHRIH* 🌷
     *******

🌺Hazrat Shaikh Muhiuddin Ibne Arbi Rehmatullah Alaihi Bohat Bade Bujurg Guzre Hain! Aapne Maarifat Wa Haqiqat Ki Be-Shumaar Moati Kitabain Likhi Hain Jin May Asraar Wa Rumooz Ke Moti Bikhre Hain Aur Sacchayi Ko Bataya Hain! Aapka Lakab Shaikh Akbar Hain!

Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ki Uper Batayi Gayi Karamaton May Kayi Karamatain Chupi Hain!
♥Ek Yeh Ki Be-Aulaad Ko Aulaad Inayat Karna,
♥Dusra Yeh Ki Apni Sulb-A-Mubarak Se Baatini Taurper Shaikh Ali Ko Muntakil Kiya Jo Ki Bilkul Anokha Tarika Hain!
♥Tisra Yeh Ki Jo Ladka Paida Hua Wo Wali-A-Kaamil Aur Asraar-A-Ilaahi Ka Haamil Shaikh Akbar Ke Naam Se Pukaara Gaya Aur Jaise Ki Sayyadina Gaus-A-Aazam Rehmatullah Alaihi Ne Farmaya Waisa Hi Asraar-A-Ilaahi Ko Bataya Ki Duniya Hairaan Hain! Shaikh Akbar Ki Kitaabon May "Futuhaat-A-Macciya" Aur "Fasusul Huqm" Bohat Mashoor Hui Hain! Aapki Dusri Be-Shumaar Kitaben Hain Jo Tasavwuf Per Likhi Gayi Hain

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा