SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!Part:01:

Aap 5we Khaleefa hain, Ahle Bait E Athar Ke 12 Imaamo Me se Dusre Imaam Hai....

Aapka Naam:
Imaam E Hasan رضي الله تعالي عنه.

Aapke Walid E Majid:
Ameer Ul Momineen Saiyedna Ali E Murtuzaرضي الله تعالي عنه

Aapki Walida Majida:
Sehzadi E Rasool Sayyada Fatima Zahraرضي الله تعالي عنه.

Aapki Kunniyat:
Abu Muhammad
.
Aapka Laqab:
Taqi Wa Sayyad, Tayyab, Zaki, Wali, Kareem, Haleem, Zaahid.

Aapka Urf:
Sibte RasoolAllah ﷺ, Sibte Akbar.
Aapko Rehanat Ur Rasool Khulfa Binnas Bhi Kehte Hain, Yani Khilafat Aap Par Khatm Ho Gayi..

JAB HUZOOR KO AAPKI WILADAT E PAAK KI KHABAR MILI
Jab Sayadna Imaan E Hasanرضي الله تعالي عنه  Ki Wiladat Ki Khabar Huzoorﷺ Ko Hui To Shada-Wa-Farda Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Ke Ghar Tashrif Laye Aur Farmaya Mere Bachche ko Muje Dikhao...
Hazrat Asma Binte Amees رضي الله تعالي عنه Ne Aap ko Ek Zard Kapde Me Lapet kar Huzoor ﷺ ki Aaghosh E Paak Me Diya Huzoor ﷺ Ne Zard Kapda Dekh Kar Farmaya Mere Bachche ko Zard kapde Ne Na Lapeta Karo Phir Usi Waqt Safed Kapda Badal Diya Gaya.
Huzoor ﷺ Ne Aapko Apni Aaghosh E Paak Me Lekar Daayen Kaan Me Azaan Aur Baayen Kaan Me Takbeer Kahi....
To Be Continued In Next Part....
____________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा