SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:02/03:
INKA NAAM HASAN RAKHIYE:
Huzoor Sayyad E Aalam ﷺ Ne Aapka naam Hasan Rakha 7we Roz Apka Aqeeqa Kiya Aur Hukm Diya ke Baalon Ke Wazan ke Barabar Chandi Sadqa Di Jaaye...
Huzur ﷺ Se Kisi ko Surat me Wo
Mushabihat Haasil Na Thi Jo Sayyadna Imam Hasan Ko Haasil thi Aapse Pehle Kisi Ka Naam "HASAN" Na Rakha Gaya Tha Ye Jannati Naam Pehle Aap Hi ko Ataa Hua...
Aap 6 Saal 4 Mahine Apne Nana Jaan Huzoor ﷺ Ke Saaya E Aatefat Me Rahe Aap
7 Saal Apni Waalida Maajida Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه ki Aaghosh E
Tarbiyat Me Rahe...
Aap Taqriban 37 Saal Apne Waalid Maajid Sayyadna Ali E Murtuza رضي الله تعالي عنه Ke Fuyooz O Barkaat Se Mustafeez Rahe, Zaahir Hai Ke Aisi Paakiza Hastiyon ki Aaghosh Me Parwarish Paane Waale Imam E Jaleel Me Yaqeenan Taaseer Hogi Jo In Azeem Hastiyon Me Hai...
To Be Continued In Next Part....
____________________________________________
PART:03:
INKA NAAM "HASAN" RAKHIYE
Cont....
Cont....
Phir Huzoor ﷺ Ne Hazrat Ali Sher E Khuda رضي الله تعالي عنه Se Farmaya Tumne Is
Bachche ka Naam Kya rakha hai ?? Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ne Arz kiya Ya
RasoolAllah Me Aapke Samne Kya Naam Rakhta Haan Khayal Aisa hai ki Agar Munasib Ho to Inka naam "HARAB" Rakha Jaaye...
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mai Is Silsile me Wahi E Ilahi Ka Muntazir Hoon Thori Hi Der Me Wahi ke Aasaar Zaahir Hue Aur Hazrat Rooh Ul Ameen Alayhissalam Ek Sabz Reshmi Kapde Par Aapka Naam E Naami Likha Hua Lekar Huzoir ﷺ ki Bargaah Me Haazir Hue...
Huzoor ﷺ Ne Farmaya Aye Jibra'eel Ye Kya Hai..! Hazrat Jibra'eel Alayhissalam ne Kaha Ke Bargaah E Rabb Se Ye Irshaad Hai ki Ali Aap Ke Liye Misle Haroon Alayhissalam Ke Hai Wo Hazrat Musa Alayhissalam Ke Rafeeq Wa Biradar The Ye Aapke Saath
Hain...
Lihaza Ali E Murtuza Ke Farzand ka Naam Hazrat Haroon Alayhissalam Ke Bete Ke Naam Par Rakhiye Unke Bade Ladke ka Naam Shabbar Tha Jiska Arabi Tarjuma
"HASAN" Hota Hai Lihaza Inka Naam Hasan Rakhiye Chunache Huzoor ﷺ Ne Aapka Naam Hasan Rakha...
7we Roz Huzoor ﷺ Ne Aapka Aqeeqa Kiya Do Mendhe Zibah Farmaye, Sar ke Balon ke Wazan ke Barabar Chandi Sadqa Farmayi Aur 7we Roz Hi Aapka Khatna Bhi Kiya...
Sab Kaamo Se Faarigh Hokar Huzoor ﷺ Ne Apna Lu'aab E Dehen Sayyadna Imaam E Hasanرضي الله تعالي عنه Ke Munh Me Dala Aur Ye Dua Farmayi...
AYE ALLAH MAIN ISKO TERI PANAAH ME DETA HOON AUR ISKI AULAAD KI BHI US SHAITAN KE SHARR SE JO TERI DARGAH SE RAUNDHA GAYA HAI...
HUZOOR ﷺ KA FARMAN HAI...
Jis Momin Ka Badan Mere Hasan ke Badan Se Choo Jaayega Us Par Jahannam ki Aag Haram Ho Jaayegi...
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________
____________________________________________
JazakAllahu Khair,
Taalib E Dua,
M.S Ak
Taalib E Dua,
M.S Ak
Comments