Raushan Khayalaat
Raushan Khayalaat
▪Imaan Ke Baad Afzal Tareen Neki Qalq E Khuda Ko Aaraam Pahunchana Hai.
(Huzoor E Akram Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam)
☆
▪Jo Zulm Karke Izzat Chahta Hai, Allah Use Insaaf Karke Zaleel Karta Hai.
(Hazrat E Ali KaramAllahu Wajhul Karim)
☆
▪Aqalmand Baat Karne Se Pehle Dimaagh Se Puchta Hai, Phirr Munh Se Bolta Hai.
(Hazrat Ghouse E Aazam Rehmatullahi Alayh)
☆
▪Jab Insaan Nek Banjata Hai To Uska Har Kaam Nek Hi Hota Hai.
(Hazrat Bayazid Bustami Rehmatullahi Alayh)
☆
▪Zaalim Se Badhkar Badh-Kismat Koi Nahi Ho Sakta, Kyun Ke Musibat Ke Waqt Uska Koi Madadgaar Nahi Hota.
(Shaikh Saadi Rehmatullahi Alayh)
☆
▪Faqeer Ko Sadqa Dekar Ehsaan Na Jatao, Balke Uska Ehsaan Maano Ke Usne Sadqa Qabool Kiya.
(Imaam Ghazali Rehamatullahi Alayh)
☆
▪Jab Dushman Teri Taraf Haath Badhaye To Agar Tujh Me Taaqat Hai To Uska Haath Modh De, Warna Use Choom Le.
(Abbasi Khalifa Mansoor)
☆
▪Jis Insaan Ke Dil Me Raushni Na Ho, Wo Chiraaghon Ke Mele Me Kuch Haasil Nahi Kar Sakta.
(Wasif Ali Wasif)
☆
▪Baat-Cheet Ke Dauraan Agar Gussa Aaye To Khamoshi Iqtiyar Karo, Zyada Gussa Tabaahi Laata Hai.
(Aflatoon)
☆
▪Muhabbat Ka Ek Din 100 Baras Ki Be-Muhabbat Ki Zindagi Se Behtar Hai.
(Shaile)
☆☆☆
@arzooemadina.blog
@salamat
Comments