SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

 (Part:04:)


SAYYADNA IMAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KE FAZA'IL...

Hazrat Sayyadna Imam E Hasan رضي الله تعالي عنه Ki Shakl O Shabahat Rehmate Aalam ﷺ Ke Mushabah Thi Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Apko Lori Dete Waqt Farmaya Karti Thi...


YE MERA BETA NABI E KAREEM ﷺ KE MUSHABA HAI APNE WAALID ALI KE MUSHABA NAHI...!


Hazrat Uqba Bin Harisa رضي الله تعالي عنه Se Marwi Hai Ke Ek Din Ameer Ul Momineen Hazrat Sayyadna Siddiq E Akbar Aur Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murtuza رضي الله عتهما Namaz E Asr Adaa karke Masjid Se 

Nikle, Hazrat Sayyadna Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Bachchon Me Khel Rahe The, Hazrat Sayyadna Abu-Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Unhe Apne Kandhe Par Utha Liya Aur Farmaya  

"INKI HUZOOR ﷺ KE SAATH MUSHABIHAT HAI ALI KE SATH NAHI ISPAR HAZRAT ALI MUSKURAYE"
YA ALLAH TU BHI INHE MEHBOOB RAKH:

Hazrat Barra Bin Aazib رضي الله تعالي عنه 

Farmate Hain Ke Ek Din Huzoor ﷺ Apne 

Daulat Kade Se Baahar Tashrif Laaye Aur Apne Dosh E Mubarak Par Sehzade Hasan ko Bitha Rakha Tha, Phir Aapne Farmaya  

"ILAHI ME ISE DOST RAKHTA HOON, TU BHI ISE DOST RAKH"

Hazrat Sayyadna Abu Huraira رضي الله تعالي عنه Farmate Hain Ke Ek Martaba Allah Ke Pyare Habeeb ﷺ Sehzade Imam Hasan Ko Apne Kandhe Par Bithaye Hue Tashrif Laaye Aur Farmaya...


ILAHI MAI ISE DOST RAKHTA HOON, AUR ISKE DOST KO DOST RAKHTA HOON, TU BHI JO ISE CHAAHE USE DOST RAKH.
(GULZAAR E SHOHADA)
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा