SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...


SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...



(Part:05:)

SAYYADNA IMAM E HASAN رضي الله تعالي عنه AUR SHEHED KHAWAR E LUA'B E ZABANE BANI.

Huzoor ﷺ Baarha Aapko Apni Zubaan Mubarak Chusaya Karte the, Huzoor E Aqdas ﷺ Apne Nawason Ko Azrahe 

Safaqqat Wa Muhabbat Kabhi Gale Lagate Kabhi Soonghte Kabhi Choomte Aur Kabhi Munh Par Munh Rakh Dete...

Baaz Awqat Jab Bhook Aur Pyas ki Shiddat Hoti Aur Ba-zahir Khane Peene Ki Koi Cheez Na hoti to Aap Apni Zubaan E  

Muqaddas Unke Munh Me Rakh Dete Nawase Apki Zubaan E Athar Choos Kar Apni Bhook Pyas Khatm Kar Lete...


Tibrani Wa Ibne Asakir Me Hazrat Sayyadna Abu Hurairahr رضي الله تعالي عنه Se Marwi hai Ke Ek Dafa Huzoor ﷺ Safar me the Usi Darmiyan Aapne Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضي الله عتهما Ke Rone ki Aawaaz Suni, 

Aapne Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Se Pucha Ke Bachche kyun Ro Rahe hain ??


Sayyada Ne Arz kiya Pyaas Ki Wajha Se, Aapne Tamam Sathiyon Se Paani Ke Bare me Pucha Magar Pani Na mila To Farmaya In Dono Ko Mere paas Lao Hazrat Sayyada Odhni Ke Andar Ek-Ek Ko Layi "Huzoor ﷺ 

Ne Har ek ko Liya Seene se Lagaya Aur Apni Zuban E Mubarak Unke Munh Me Daal Di Unhone Choosa Aur Khamosh Ho Gaye...


Huzoor ﷺ Ki Khadima Azina رضي الله تعالي عنه Bayaan Karti hai Ke Huzoor ﷺNe Aashura Ke Din Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Ke Tamaam Bachchon ko Bulaya Aur Unke Munh Me Lu'aab E 

Dehen Dala Aur Hazrat Sayyada Fatima رضي الله تعالي عنه Se Farmaye...


ABB AGAR RAAT TAK DOODH NA PILAO TO BHI KOI HARAJ NAHI KYUNKE MERA LU'AAB E DEHEN INKE LIYE KAAFI HAI....
(GULZAAR E SHOHDA)
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा