SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه.

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!

Part:08:


MERA YE BETA SAYYAD HAI:


Sahih Bukhari Sharif me Hai Hazrat Sayyadna Abu-Bakr Siddiq  رضي الله تعالي عنه Riwayat Karte hain Ke Maine Huzoor Aqdas ﷺ Ko Is Haal me Apni Aankhon Se Dekha Aur Suna "Rasool E Kareem ﷺ Mimbar Par Jalwa farma hai Aur Aapke Pehlu me Sehzade Imam Hasan Baithe Hue hain, Huzoor Ek Martaba Logon ki Taraf Nazar Farmate Aur ek Martaba Imam Hasan ki Jaanib Phir Huzoor ne Irshad Farmaya...


"AYE LOGON..! BESHAK MERA YE BETA HASAN SAYYAD HAI, ALLAH TAA'LA INKE ZARIYE SE MUSALMANO KE 2 BADE GIROH ME SULAH KARWAYEGA"


Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه  Pyare Rasool Ko Bahut Mehboob The Musalmano Ko bhi Unse Mahabbat Rakhna Chahiye...

Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Aapko Musalmano Ke Do Bade Giroh Me Sulah Karane Wala Farmaya Wo Is Waaqiye Ki Taraf Ishara Tha ke Jab Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murttuza  رضي الله تعالي عنه 

Taqtqt E Khilafat Par Jalwa Farma Hue to Ek Giroh Hazrat Muaviya  رضي الله تعالي عنه Ka Haami tha Aur Is Iqtilaf Se Aapas me Ladai ka Imkan Tha...


Us Mauqe Par Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ne Kuch Sharait Par Hazrat  Muaviya  رضي الله تعالي عنه Se Sulaah Farma Li thi Aur Khilafat Se Dastbardari Farmakar Taqt E  Saltanat Hazrat Muaviya Ke liye Khali Kar Diya tha Aur Musalmano Ke Do Giroh ko Aaps me Takrane se Bacha Liya tha...

Maloom Hua Ke Hamare Huzoor ﷺ Ko Hazrat Muaviya  رضي الله تعالي عنه Ke Aur Hazrat Imaam E Hasan  رضي الله تعالي عنه Ke Tarafdar Dono Giroh Ka Pehle Hi Se Ilm Tha Aur Ye bhi Ilm Tha ki Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه Hazrat 

Muaviya ke Haq Me Dast Bardar Ho Jayenge aur Ye bhi Maloom Hua Ke Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ke Tarafdaar Bhi Musalman The Aur Hazrat  Muaviya  رضي الله تعالي عنه Ke Tarafdaar bhi Musalman The "IS LIYE KE HUZOOR NE MUSALMANO KE 2 BADE GIROH KA JUMLA IRDHAD FARMAYA HAI,

Aur Ye bhi Maloom Hua ke Hazrat Muaviya  رضي الله تعالي عنه Huzoor ﷺ Ke Wajib Ut Tazeem Sahabi Hai Unki Shaan me Kisi Qism Ki Gustaqii Jaayez Nahi...

Isi Liye Ke Agar Wo Aise Na hote to Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه Unke Haq me Dastbardar Kyun ho jate Aur Kyun na Unki Usi Trah Muqalifat Farmate Jis Tarha Aapke Chote bhai Hazrat Sayyadna Imam Hussain  رضي الله تعالي عنه Ne Yazeed ki Muqalifat ki thi...
(GULZAR E SHOHDA)
(TAREEQ E SAHADAT)
SAYYADNA IMAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KI

SAHADAT KI TAREEQ ME 2 RIWAYATEN MILTI HAI 28 SAFAR AUR 5 RABI'UL'AWWAL AUR GULZAR E SHOHDA ME APKI SAHADAT 5 RABI'UL'AWWAL NAQL KI GAYI HAI SABHI SE GUZARISH HAI  DUWA KARE KI ALLAH TAA'LA AHL E BAIT KI MUHABBAT MARTE DUM TAK HAMARE DILON ME ZINDA RAKHE....
آمِيْن يَارَبَّ الْعَالَمِينْ
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________


Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा