SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..


SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!

Part:09:

SAYYADNA IMAAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KI PAAKIZA ZINDAGI AUR KAMAAL E ADAB:

Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ne 25 Hajj Paidal Kiye hain, Sawari ki Ountniya Saath Hoti Magar Aap Unpar 

Sawar Nahi hote, Farmaya Karte ke Muje Apne Parwardigar Se Sharm Aati hai Ke usse Milne Ke liye main Sawariyon Par Sawar hokar Jaaun Uske Ghar tak Paidal Na jaaun...


Hazrat Sayyadna Imaam Zain Ul Aabedeen  رضي الله تعالي عنه Farmate hain ke Un Paidal Hajj me Hazrat Sayyadna Imaam Hasan 
رضي الله تعالي عنه Aksar Nange Pair Chala Karte the Yahan tak ke Aspke Pairon Me Waram Aa jata tha...


Haajiyon Ke Aksar qaafile Sawar Hokar Raste me Jab Aapko Paidal Safar Karte Dekhte to Hsaji Aur Haajiyon ke qaafile Ke sardar Aapko Dekhkar Ehtaraman 

Sawariyon se Utar Jaate The to Aap Unke Qareeb Jaakar Farmate Tum aisa na karo Tumme Budhe Aur Kamzor Log bhi hain Humne to Apni Aadat Bana Li hai ke Hajj ke Liye Paidal Safar Karna, Phir Aapke 

Mushfiqana Israr Par Wo log Sawar hokar Dusre Raste Se Chale Jaya Karte the....

AAPKA WAZU:

Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Jab Wazu Farmate The to Aapke Jism Ka 

Ek Awaz Kampne Lagta Aur Rang Zard Ho Jata Jab Aapse Uski Wajha Puchi Gayi To Aapne Farmaya Jo Rabb Ul Arsh Ke Huzoor
 Khada Ho Uspar Ye Haqq hai Uska Rang Zard Ho Jaaye Aur Jodh-Jodh Kampne Lage....
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा