SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!
Part:10:

SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISILI WAQIAAT:

Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ki Sahadat ke Baad Aap Mimbar Par Tashrif Laaye Aur 
Farmaya ke "AYE LOGON..! 

Aaj Raat Me Allah Taa'la Ne Tumhare Sar se Us Mard E Khuda ko Utha liya Ke Ab us Ki Nazeer Qayamat tak Tumko Nahi Milegi 

Aur ye Wahi Shab hai Ke Jis Shab Me Hazrat Musa Aleyhissalam Ne Duniya se Rehlat Farmayi Aur Hazrat Isa Aleyhissalam Aasman Par Tashrif

 Le Gaye, Lihaza Ab Tumko Chahiye ke Raah E Deen Aur Millat E Baiza Sayyad Ul Mursaleen Ki Itteba Karo...

Chunache Usi Waqt Sabse Pehle Hazrat Mateen Bin Sa'ad Ibada Ansari  رضي الله تعالي عنه Ne Aage Badhkar Apke Daste Haq Parast Par Bait ki Phir Ahle Koofa Ne Jauq  Dar 

Jauq  Aapke Hasth Par Bait Karni Shuru ki Yahan tak ke 40 Hazar Logo ne Aapke Haath Par Bait Karli...

Jab Hazrat Ameer Muaviya  رضي الله تعالي عنه ko Hazrat Sayyadna Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ki Sahadat Ki Khabar Mili Aur Ye bhi Khabar Mili Ke Taqriban 40 Hazar 

Logon ne Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ke Haath Par Bait Kar li hai to Aap 60 Hazar Ka Lashkar Lekar Mulke Shaam Se Kufa ki Jaanib Jung ke Liye Rawana Ho gaye...

Jab Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ko Ittela Mili Ke Hazrat Muaviya  رضي الله تعالي عنه    

60 Hazar Ka Lashkar Lekar Jung ke Irade Se Aa Rahe hain to Aapne Bhi 40 Hazar Ka Lashkar Taiyyar Kiya Aur Kufa Se Bahar Tashrif Laaye Aur Hazrat Mateen Bin Sa'ad  رضي الله تعالي عنه Ko 12 Hazar Ka Lashkar 

Dekar Muqdamatul Jaish Banaya Lekin Jab Aap Madaeen Ke Maidan Me Pahunche To Kuch Khayal Paida hua Aur Aapne Tamam Lashkar Ko Rok Diya Aur Khud Farmaya...
MUJE KISI SE KOI ADAWAT NAHI HAI MAI JUNG NAHI CHAHTA AUR BILA WAJHA MUSALMANO KA KHOON BAHANA MUJE PASAND NAHI.

Aapke Is Ailaan Se Bahut se Log Apke Muqalif Ho Gaye Lekin Aksariyat Apke Niyazmando Me Rahi.
To Be Continued In Next Part....
____________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा