SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!

Part:11:

SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR 
AAKHIR TAK KE TAFISERLI WAQIAAT.

Aap Ek Sawari Par Sawar Sheher Madaeen Ki Taraf Aa rahe the Raaste me Ek Khabees Kharji Mila Usne Aapko Dekhte hi Talwaar Khinchi Aur Zanu E Paak Par Is Zor Se Waar kiya ki Zaqm Haddi Tak Pahunch Gaya, Aapne Sabr kiya...

Apke Piche hi Hazrat Abdullah Bin Fazal Taae رضي الله تعالي عنه Aa Rahe the Unhone Us Khabees Kharji Ke Tukde Tukde Kar diye Aap Bahut hi Ranjida Aur Malool Madaeen Me Tashrif Le Aaye Aur "QASRE ABIYAZ" Me Qayam Kiya, Jarrah Apka Ilaaj Karne Me Mashgool Ho gaye Aur Kuch Dino me Aap Shifayab Ho Gaye...

Kufiyon Ka Rawaiyya Aap Sayyadna Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ke Saath Dekh Chuke the Aur Abb Ye Dusra Mauqa tha, Is Wajah se Aap Unki Taraf se Kabida Khatir ho Gaye, Phir Aapne Kuch Sharait Par Hazrat Ameer-Muaviya  رضي الله تعالي عنه Se 

Sulaah Farmayi, Ye Sulaah Maah E Rabi-Ul-Awwal 41 Hijri Me hui Aur In Sharton Me Kuch Ahem Sharten Ye thi...

1.) Hazrat Muaviya  رضي الله تعالي عنه Ke Baad Khilafat Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ko Pahunchegi...

2.) Ahle Madina Aur Ahle Hijaaz Aur Ahle Iraq Ne Kisi Shaqsh Se bhi Zamana E Ameer-ul-Momineen Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ke Mutalliq Koi Muwaqeza wa Mutalba Na Kiya Jaega....

Aur Huzoor Nabi E Kareem ﷺ Ka Ye Mo'jiza Zaahir Hua Jo Huzoor ﷺ Ne Farmaya Tha Ke "Allah Taa'la Mere Farzand E Arjuman ki Badaulat Musalmnaon Ki

 2 Jama'at me Sulaah Farmaega....
To Be Continued In Next Part....
اللهم صل على سيدنا محمد وعلى آله وصحبه وسلم تسليما كثيرا
___________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा