SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه.
SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!
Part:14:
SAYYADNA IMAAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT
Hazrat Sayyadna Imaam Hasan رضي الله تعالي عنه Ko Khajuren Bahut Pasand thi, Kuch Dino Ke baad Esuniya Me Kisi Khabees Ne Umda Qism Ki Khajuren Li,
Aur Unme Zeher Milaya Aur Kuch Khajuren Saada Qism ki Alag Kar di Aur Unhe Lakar Hazrat Ja'ada Ki
Qidmat me Pesh Kiya Hazrat Ja'ada Ne Saada Khajuren Apne liye Rakh Li Aur Umda Khajuren Hazrat Sayyadna Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Ki Qidmat me Pesh Kar di...
Aapne Un Khajuron Me se 7 Khajuren Tanawul Farmayi, Raat bhar Zeher ke Asar se Taklif Rahi Subha aap
Nanajaan Ke Roza E Paak Par Haszir hue To Aaram Ho gaya...
Aapne Hazrat Ja'ada Se Farmaya Khajuron Me Na Jaane kya tha Ke Raat bhar Pet me Taklif Rahi Hazrat Ja'ada ne Kaha Khajuren to Maine bhi Khayi thi Lekin Muje to Koi Taklif Na hui...
Phir Aapne Aizza Akaraba ko Bulaya Aur Kaha ke 2 saal se Meri Tabiyat Nasaz Rehti hai Main Chahta hoon Ke Kuch Roz ke Liye Museela Chala Jaaun Aur Tabdili E Aabo Hawa Kar Aaun,
Chunache Aapne Hazrat Abdullah Bin Abbas ko Apne Saath Liya Aur Museel Ke Liye Rawana ho gaye....
Chunke Aapke Safar ki Shohrat Ho chuki thi Ke Aap Kuch Dino ke liye Madina Taiyyba se Museel Aa rahe
the To Damishq Ka Rehne Wala Ek Andha Khabees Jo Aapka Badtareen Dushman Tha Usne Soncha ke Museel Chalun Shayad Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Ko Taklif Pahunchane ka Mauqa Mil Jaaye...
Chunache Us Andhe Khabees ne Apni Lakdi Me Ballam Ke Misl Nokdaar Zeher me Bujha Hua Loha Lagwaya Aur Museel Me Aakar Ek Masjid Me Teher Gaya..
Jab Hazrat Sayyadna Imaam Hasan رضي الله تعالي عنه Museel Tashrif Laaye To Ye Andha Khabees Aapke Piche Namaz Padhta Aapki Majlis me Baith kar Hadeesen
Sunta Aur Khoob Rota Tha Aur Taak Me Rehta Ke Kab Mauka Mile Aur Main Apna Kaam Karun....
Ek Roz Sayyadna Imaam Hasan رضي الله تعالي عنه Zohar ki Namaz Ke Baad Masjid Ke
Bahar Apne Ek Khadim Wa Niyazmand Ki Dukan Par Tashrif Farma the Aur Ehabab Ke Mutaliqeen Se
Guftagu Farma Rahe the Ke itne me Wo Andha Duwayen Deta hua Aaya Aur Andaze Se Apni Lakdi Ke
niche Lage Hue Zehar Me Bujhe Nokdar Lohe ki Nok ko Apke Paaun Mubarak Par Rakhkar Bahut Zor se Dabaya Ke Gehra Zaqm Lag gaya...
Aapne Ek Aah ki Aur Farmaya Afsos Dushmano Se Yahan bhi Mehfooz Na raha, Zaqm se Khoon Jari ho Gaya Aur Paaun Mubarak Me Waram(Sujan) Aa gaya. 😢😢😢
To Be Continued In Next Part...
____________________________________________
____________________________________________
Comments