SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..
SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!
Part:12:
SAYYADNA IMAAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT:
Jab Aap Madina Tashrif Le Aaye to Hazrat Ali Bin Bashir Hamdani رضي الله تعالي عنه
Ne Dauran E Mulaqat Arz kiya Huzoor Ye Sulaah Mere Khayal Me Munasib Nahi thi, Aapne Farmaya Ali Bin Bashir Khamosh
Raho Hum ko Wo Asraar Maloom Hai Jinka Ilm Hamare Siwa Kisi Dusre ko Nahi Tumhe Kya Maloom Ke Is Sulaah Me Kya Maslihat
Thi Magar Mai Tumko Sirf Itna Batata Hoon Ke Hamari Jama'at Me Agar Isse Zyada Bhi Lashkar Aa Jaata Hatta ke Shajro Hajar bhi Hamari Madad me Shareek Hote To bhi Hum Fatehyaab Na hote...
Aye Ali Bin Bashir Huzoor Sayyad E Aalam ﷺ Ne Bani Umaiyya Ko Dekha ke Wo
Mimbar E Nabawi Par Chadh Rahe Hain Aur Yake Bad Digar Chale aa rahe hain To Huzoor ko Na-Pasand Aaya To Rabb ne
Sureh Kausar Naazil Farmakar Irshad Farmaya
"AYE HABEEB E PAAK HUM NE TUMHE TAMAAM NEMATEN ATAA FARMA DI AUR TUMKO JOO E ATAA BAKSH DI HAI."
Phir Sureh Qadr Naazil Farmayi Iski Ek Shab E Qadr Hazaar Mahino Se Behtar hai Aur is Hazaar Mahine se Murad Saltanat E Bani Umaiyya ke Din hai...
Upar Bayan Ki Hui Riwayaten Siyer ki Hai Aur Mufassirin E Kiram Unse Muttafiq Hain, Mufassirin Ki Tehqeeq Hadees Ki Raushni Me Hoti hai Aur Arbabe Siyer
Aqwale Sufiya E Kiram Naql Karte hain Jo Unke Mushifat Aur
Hasbe Haal Hote Hain.
Saahib E Shwahid Un Nabuwwah In Riwayaton ko Likh kar Aage Likhte hai ke "Bani Umaiyya Ki Saltanat Ke Ayyam Ka Maine Hisab Kiya to Pure 1000 Mahine Hote hain..!
(GULZAAR E SHOHDA)
To Be Continued In Next Part
___________________________________________
Comments