SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!

Part:13:

SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT:

Madina E Tayyaba Me Aapke Qayam Ke Dauran Damishq Ke Logon Ne Bahut Zyada Israr Karke Aap Ko Damishq Bulaya,

 Jab Aap Madina Se Damishq ke Liye Rawana Hue To Raaste Me Jo Sheher Aata Wahan Ke log Aapka Bada Shandar Isteqbal Karte Aur Tazeem O

 Takrim Baja Laate, Jab Aap Museel Pahunche To Hazrat Saad Museeli  رضي الله تعالي عنه 

Jo Aap Ke Khaas Niyazmandon Me the Israar Karke Aapko Kuch Din Apne Yahan Thehraya, Phir aap Damishq Tashrif Le Gaye...


Damishq Me Kuch Din Qayam Karne Ke Baad Aap Phir Madina Tayyaba Ke liye Wapis Loute, Wapsi Par Phir Jab Aap 

Museel Se Guzre To Yahan ek Khabees Be-Deen Andha Rehta tha Usne Zahiri Aqeedat O Muhabbat ka Bahut Zyada Izhaar karke Aur Bahut Israar Ke Saath Apne Yaha Thehraya...


Us Andhe Khabees Ne Aapko Dhoke se Khane me 3 Baar Zeher diya Us Zeher se Aapko Kuch Taklif to Hui Par Aapki Karamat Thi ke 
Zeher Ka Pura Asar na Hua Idhar Us Andhe Khabees ko Zeher ka Asar na Hone Se Kaafi Hairat thi Usne Phir Ek Baar Aapko Zehet Dene ki Tajveez Sonchi...


Museel Ke Usi Qayam Ke Douran Ek Din Aap Tabdeeli E Aab O Hawa Ki Khatir Apne Kuch Ehbab Ke Saath Ek Jungle Me Thehre Hue The Aapne
 Mulahiza Farmaya ke Kuch Faasle par Ek Ount Sawar ne Apne Ount ko Ek Daraqt se Bandh Rakha Hai Aur Khana Kha raha hai...
Achanak Uske Pet me Saqt Dard Hua aur Usi Waqt ek 
Bhooka Cheeta 
Aaya Usne Ount Sawar ko Maar Dala Aur Ount Par Hamla 
Karna Chaha Ke Sayyadna 
Imaam E Hasan  رضي الله تعالي عنه Ke Khadim Ne Cheete Ko Bhaga Diya Aur Ount Ko Pakad Liya Aur Jab Uske Saman Ka Jaayeza Liya To Usme

 "ZEHER BHARI HUI EK BADI BOTTLE AUR EK LIFAFA MILA"

Khadim Ne Dono Cheezen Lakar Aapko Pesh Kar di Aapne Lifafe Ko Khud padha Lekin Apne Ehbab Se Kisi Par Uska Raaz Zahir Na Farmaya 
Aur Balke Lifafa Ko Apne Musalle Ke niche Rakh Diya Aur Zeher Phenk Diya Lifafe Ka Raaz Zahir Na Karne
 ka Maqsad Sirf Ye tha Ke Aap Nahi Chahte the ke Aapka Mezban Sharminda ho...

(GULZAAR E SHOHADA)

To Be Continued In Next Part...
___________________________________________

Comments

Popular posts from this blog

Farmane Mustafa

चुगलखोरी किसे कहते हैं

ईद का वजीफा