KHOSHA E JANNAT
HIQAYAT: ******** Ek Dafa Huzoor Sarwar E Aalam SALLALLAHU TA'AALA-ALAIHI-WA AALIHI WA SALLAM Ne Namaz Padhte Hue Apna Hath Mubarak Badaya Jaise Ki Aap Kuch Pakadna Chahte Hain..! Phirr Aapne Apna Hath Mubarak Rok Liya.! Sahaba E Kiram Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah..! Hamne Aapko Apne Haath Mubarak Badaate Hue Aur phir Rokte Hue Dekha Hain, Kya Baat Thi? Huzoor Sarwar E Aalam SALLALLAHU TA'AALA-ALAIHI-WA AALIHI WA SALLAM Ne Irshad Farmaya, Maine Jannat Ko Dekha Aur Jannat Ke Ek Khoshe Ko Pakda..! Agar Us Khoshe Ko Main Todh Lata To Tum Rehti Duniya Tak Us Khoshe Me se Khate Rehte..! (Muslim Sharif, Jild-1,Pg-298) ****************************** SABAQ: ****** Hamare Huzoor Sarwar E Aalam Noor E Mujassam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WA AALIHI WA SALLAM Aalam Ke Mukhtar Hain, Jannat Saat'on Aasmaano Ke Upar Hain..! Magar Huzoor Sarwar E Aalam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WA AALIHI WA SALLAM Ki Mubarak Aankhen Madina Muanvwara Ki Zameen Se