Posts

Showing posts from March, 2019

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:16: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISERLI WAQIAAT: Phir Jab Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Museel Se Madina Wapas Aa gaye, Idhar Khabeesa Esuniya Aapki Taak me Thi Jaise hi Usko Apki Aamad Ki Khabar Mili Usne Kuch Almas Pisa Aur Mauqe ki Talash Ne Rahi.... Aap Ehtiyatan Apni Paani Ki Surahi Ba-Muhar Rakhte the Lekin Mauqa Paakar Us Esuniya Khabeesa ne Wo Pisa hua Almas Aapki Pani Ki Surahi me aisi Safai se Daala ke Muhar ko Nuksan Na Pahuncha, Aap Us Waqt Aaram Farma Rahe the... Rabi UL Awwal Sharif ke Mahine Ki 5wi Shab Thi Achanak Aap Bedar Hue Aur Hazrat Sayyada Zainab  رضي الله تعالي عنه Ko Bulaya Aur Farmaya "Behen Zainab Maine Abhi Khawab me Hazrat Sarkar E Do Aalam ﷺ Ko Dekha Unki Khidmat me Abba Jaan Aur Amma Jaan bhi thi Lihaza Paani Laao Wazu Karun... Hazrat Sayyada Zainab  رضي الله تعالي

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:15: SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه... SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAT: Hazrat Sayyadna Abdullah Bin Abbas رضي الله عتهما Aur Dusre Aqeedat Mando Ne Us  Khabees Andhe ko Pakad Liya, Aapne Farmaya "ISE CHOR DO JAISA YE DUNIYA ME ANDHA HAI AISA HI YE AAQIRAT ME ANDHA HAI. Aapke Hukm Ki Taa'mil Karte Hue Aapke Mutalliqeen Ne Us Andhe Ko Chor diya Wo Bhaag Gaya Aur Nazron Se Gayab Ho gaya Us  Zaqm ne Aapko Bahut Saqt Taklif di, Shiddat E Dard Se Kabhi Kabhi Aapki Cheekh Buland ho Jati. Jarrah(Hakim) Bulaya Gaya Usne Jaise hi Zaqm Dekha,  Rone Laga Aur Arz Kiya Huzoor Ye Zeher ke Bujhe hue Aale Ka Zaqm Hai Aur Qasdan Lagaya Gaya hai Hazrat Saa'ad Musli  رضي الله تعالي عنه Ne  Arz Kiya Abb Hum Us Andhe Ko Saza Diye Bagair Nahi Chorenge A

Raushan Khayalaat

Raushan Khayalaat ▪Imaan Ke Baad Afzal Tareen Neki Qalq E Khuda Ko Aaraam Pahunchana Hai. (Huzoor E Akram Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam)                                        ☆ ▪Jo Zulm Karke Izzat Chahta Hai, Allah Use Insaaf Karke Zaleel Karta Hai. (Hazrat E Ali KaramAllahu Wajhul Karim)                                        ☆ ▪Aqalmand Baat Karne Se Pehle Dimaagh Se Puchta Hai, Phirr Munh Se Bolta Hai. (Hazrat Ghouse E Aazam Rehmatullahi Alayh)                                         ☆ ▪Jab Insaan Nek Banjata Hai To Uska Har Kaam Nek Hi Hota Hai. (Hazrat Bayazid Bustami Rehmatullahi Alayh)                                          ☆ ▪Zaalim Se Badhkar Badh-Kismat Koi Nahi Ho Sakta, Kyun Ke Musibat Ke Waqt Uska Koi Madadgaar Nahi Hota. (Shaikh Saadi Rehmatullahi Alayh)                                           ☆ ▪Faqeer Ko Sadqa Dekar Ehsaan Na Jatao, Balke Uska Ehsaan Maano Ke Usne Sadqa Qabool Kiya. (Imaam Ghazali Rehamat

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه.

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:14: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ko Khajuren Bahut Pasand thi, Kuch Dino Ke baad Esuniya Me Kisi Khabees Ne Umda Qism Ki Khajuren Li,   Aur Unme Zeher Milaya Aur Kuch Khajuren Saada Qism ki Alag Kar di Aur Unhe Lakar Hazrat Ja'ada Ki  Qidmat me Pesh Kiya Hazrat Ja'ada Ne Saada Khajuren Apne liye Rakh Li Aur Umda Khajuren Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ki Qidmat me Pesh Kar di... Aapne Un Khajuron Me se 7 Khajuren Tanawul Farmayi, Raat bhar Zeher ke Asar se Taklif Rahi Subha aap  Nanajaan Ke Roza E Paak Par Haszir hue To Aaram Ho gaya... Aapne Hazrat Ja'ada Se Farmaya Khajuron Me Na Jaane kya tha Ke Raat bhar Pet me Taklif Rahi Hazrat Ja'ada ne Kaha Khajuren to Maine bhi Khayi thi Lekin Muje to Koi Taklif Na hui...

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:13: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT: Madina E Tayyaba Me Aapke Qayam Ke Dauran Damishq Ke Logon Ne Bahut Zyada Israr Karke Aap Ko Damishq Bulaya,  Jab Aap Madina Se Damishq ke Liye Rawana Hue To Raaste Me Jo Sheher Aata Wahan Ke log Aapka Bada Shandar Isteqbal Karte Aur Tazeem O  Takrim Baja Laate, Jab Aap Museel Pahunche To Hazrat Saad Museeli  رضي الله تعالي عنه  Jo Aap Ke Khaas Niyazmandon Me the Israar Karke Aapko Kuch Din Apne Yahan Thehraya, Phir aap Damishq Tashrif Le Gaye... Damishq Me Kuch Din Qayam Karne Ke Baad Aap Phir Madina Tayyaba Ke liye Wapis Loute, Wapsi Par Phir Jab Aap  Museel Se Guzre To Yahan ek Khabees Be-Deen Andha Rehta tha Usne Zahiri Aqeedat O Muhabbat ka Bahut Zyada Izhaar karke Aur Bahut Israar Ke Saath Apne Yaha Thehraya... Us Andhe Khabees Ne Aapko Dhoke se

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:12: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISEELI WAQIAAT: Jab Aap Madina Tashrif Le Aaye to Hazrat Ali Bin Bashir Hamdani  رضي الله تعالي عنه  Ne Dauran E  Mulaqat Arz kiya Huzoor Ye Sulaah Mere Khayal Me Munasib Nahi thi, Aapne Farmaya Ali Bin Bashir Khamosh  Raho Hum ko Wo Asraar Maloom Hai Jinka Ilm Hamare Siwa Kisi Dusre ko Nahi Tumhe Kya Maloom Ke Is Sulaah Me Kya Maslihat  Thi Magar Mai Tumko Sirf Itna Batata Hoon Ke Hamari Jama'at Me Agar Isse Zyada Bhi Lashkar Aa Jaata Hatta ke Shajro Hajar bhi Hamari Madad me Shareek Hote To bhi Hum Fatehyaab Na hote... Aye Ali Bin Bashir Huzoor Sayyad E Aalam ﷺ Ne Bani Umaiyya Ko Dekha ke Wo  Mimbar E Nabawi Par Chadh Rahe Hain Aur Yake Bad Digar Chale aa rahe hain To Huzoor ko Na-Pasand Aaya To Rabb ne  Sureh Kausar Naazil Farmakar Irshad Farmaya  "AYE HAB

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:11: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR  AAKHIR TAK KE TAFISERLI WAQIAAT. Aap Ek Sawari Par Sawar Sheher Madaeen Ki Taraf Aa rahe the Raaste me Ek Khabees Kharji Mila Usne Aapko Dekhte hi Talwaar Khinchi Aur Zanu E Paak Par Is Zor Se Waar kiya ki Zaqm Haddi Tak Pahunch Gaya, Aapne Sabr kiya... Apke Piche hi Hazrat Abdullah Bin Fazal Taae رضي الله تعالي عنه Aa Rahe the Unhone Us Khabees Kharji Ke Tukde Tukde Kar diye Aap Bahut hi Ranjida Aur Malool Madaeen Me Tashrif Le Aaye Aur "QASRE ABIYAZ" Me Qayam Kiya, Jarrah Apka Ilaaj Karne Me Mashgool Ho gaye Aur Kuch Dino me Aap Shifayab Ho Gaye... Kufiyon Ka Rawaiyya Aap Sayyadna Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ke Saath Dekh Chuke the Aur Abb Ye Dusra Mauqa tha, Is Wajah se Aap Unki Taraf se Kabida Khatir ho Gaye, Phir Aapne Kuch Sharait Par Hazrat Ameer-Muaviya  رضي الله تعالي عنه Se 

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:10: SAYYADNA IMAAM E HASAN  رضي الله تعالي عنه KI SAHADAT KA SHURU SE LEKAR AAKHIR TAK KE TAFISILI WAQIAAT: Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murtuza  رضي الله تعالي عنه Ki Sahadat ke Baad Aap Mimbar Par Tashrif Laaye Aur  Farmaya ke "AYE LOGON..!  Aaj Raat Me Allah Taa'la Ne Tumhare Sar se Us Mard E Khuda ko Utha liya Ke Ab us Ki Nazeer Qayamat tak Tumko Nahi Milegi  Aur ye Wahi Shab hai Ke Jis Shab Me Hazrat Musa Aleyhissalam Ne Duniya se Rehlat Farmayi Aur Hazrat Isa Aleyhissalam Aasman Par Tashrif  Le Gaye, Lihaza Ab Tumko Chahiye ke Raah E Deen Aur Millat E Baiza Sayyad Ul Mursaleen Ki Itteba Karo... Chunache Usi Waqt Sabse Pehle Hazrat Mateen Bin Sa'ad Ibada Ansari  رضي الله تعالي عنه Ne Aage Badhkar Apke Daste Haq Parast Par Bait ki Phir Ahle Koofa Ne Jauq  Dar  Jauq  Aapke Hasth Par Bait Karni Shuru ki Yahan tak ke 40 Hazar Logo ne Aapke Haath Par

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه..

SEERAT E NAWASA E RASOOLﷺ SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:09: SAYYADNA IMAAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KI PAAKIZA ZINDAGI AUR KAMAAL E ADAB: Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Ne 25 Hajj Paidal Kiye hain, Sawari ki Ountniya Saath Hoti Magar Aap Unpar  Sawar Nahi hote, Farmaya Karte ke Muje Apne Parwardigar Se Sharm Aati hai Ke usse Milne Ke liye main Sawariyon Par Sawar hokar Jaaun Uske Ghar tak Paidal Na jaaun... Hazrat Sayyadna Imaam Zain Ul Aabedeen  رضي الله تعالي عنه Farmate hain ke Un Paidal Hajj me Hazrat Sayyadna Imaam Hasan  رضي الله تعالي عنه Aksar Nange Pair Chala Karte the Yahan tak ke Aspke Pairon Me Waram Aa jata tha... Haajiyon Ke Aksar qaafile Sawar Hokar Raste me Jab Aapko Paidal Safar Karte Dekhte to Hsaji Aur Haajiyon ke qaafile Ke sardar Aapko Dekhkar Ehtaraman  Sawariyon se Utar Jaate The to Aap Unke Qareeb Jaakar Farmate Tum aisa na karo Tumme Budhe Aur Kamzor Log bhi hain Humne to Apn

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه.

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...! Part:08: MERA YE BETA SAYYAD HAI: Sahih Bukhari Sharif me Hai Hazrat Sayyadna Abu-Bakr Siddiq  رضي الله تعالي عنه Riwayat Karte hain Ke Maine Huzoor Aqdas ﷺ Ko Is Haal me Apni Aankhon Se Dekha Aur Suna "Rasool E Kareem ﷺ Mimbar Par Jalwa farma hai Aur Aapke Pehlu me Sehzade Imam Hasan Baithe Hue hain, Huzoor Ek Martaba Logon ki Taraf Nazar Farmate Aur ek Martaba Imam Hasan ki Jaanib Phir Huzoor ne Irshad Farmaya... "AYE LOGON..! BESHAK MERA YE BETA HASAN SAYYAD HAI, ALLAH TAA'LA INKE ZARIYE SE MUSALMANO KE 2 BADE GIROH ME SULAH KARWAYEGA" Hazrat Sayyadna Imam Hasan  رضي الله تعالي عنه  Pyare Rasool Ko Bahut Mehboob The Musalmano Ko bhi Unse Mahabbat Rakhna Chahiye... Huzoor E Aqdas ﷺ Ne Aapko Musalmano Ke Do Bade Giroh Me Sulah Karane Wala Farmaya Wo Is Waaqiye Ki Taraf Ishara Tha ke Jab Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murttuza  رضي الله تعالي عنه 

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عن

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!  (Part:07:) FARISHTON KI DUTY: Ek Martaba Sayyadna Imam E Hasan Aur Sayyadna Imam E Hussainرضي الله عتهما Ghar se Kahin Bahar Tashrif Le Gaye,  Kuch Der ho Jane ke Baa'is Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Kuch Pareshan Si Ho Gayi Ke Sehzade Kahan Chale Gaye.... Itne me Huzoor ﷺ Tashrif Laaye To Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ Hasan Wa  Hussain Kahin Kho Gaye Hain Aur muje Maloom Nahi Ke kahan Chale Gaye Hain... Itne Ne Hazrat Jibra'eel Aleyhissalam  Haazir Hue Aur Arz kiya Ke Aapke Dono Sehzade Khateer E Bani Najar me Hain, Aap Pareshan Na ho  "Allah ﷻ Ne Unki Hifazat ke liye 2 Farishton Ko Mutaiyyan Farma Diya Hai Huzoor ﷺ Us Maqam Par Tashrif Le Gaye  To dekha ke Dono Sehzade So Rahe hain Aur Farishte Ek Parr Niche Bichaye Aur Dusre Parr Se Saaya kiye Hue Hain, Huzoorﷺ Ne Dono Sehzadon ka Munh

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...!  (Part:06:) RAAQIB E DOSH E IZZAT PE LAKHON SALAAM: Hazrat Sayyadna Ibne Abbas رضي الله عتهما Farmate Hain Ke Huzoor ﷺ Hazrat Imam Hasanرضي الله تعالي عنه ko  Apne Kandhe Par Bithaye Hue Tashrif La rahe the To Ek Saqsh Ne Kaha  "AYE SEHZADE YE SAWARI BAHUT KHOOB HAI" To Huzor ﷺ Ne Farmaya  "AGAR SAWARI ACHCHI HAI TO SAWAAR BHI ACHCHA HAI. Hazrat Barra رضي الله تعالي عنه Isi Kaifiyat Ka Tazkira In Alfaaz me Karte haib *"Maine Huzoor ﷺ ko Is Haal me Dekha ki Hazrat Hasan Bin Ali Aapke Kandhe par Sawar Hai Aur Aap Dua Farma Rahe Hain..... Aye Allah !  Main isse Muhabbat Karta hoon Tu Bhi Isse Mehboob Bana le.... AALA HAZRATرضي الله تعالي عنه IS KAIFIYAT KO BAYAN KARTE HUE IRSHAD FARMATE HAIN... Wo Hasan E Mujtaba Sayyadul Askhiya... Raaqib E Dosh E Izzzat pe Lakhon Salaam... Aur Ek Jagah Yun Bayan Karte hain... Habbaza Salle Alaa Hasnain Kandho

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه... (Part:05:) SAYYADNA IMAM E HASAN رضي الله تعالي عنه AUR SHEHED KHAWAR E LUA'B E ZABANE BANI. Huzoor ﷺ Baarha Aapko Apni Zubaan Mubarak Chusaya Karte the, Huzoor E Aqdas ﷺ Apne Nawason Ko Azrahe  Safaqqat Wa Muhabbat Kabhi Gale Lagate Kabhi Soonghte Kabhi Choomte Aur Kabhi Munh Par Munh Rakh Dete... Baaz Awqat Jab Bhook Aur Pyas ki Shiddat Hoti Aur Ba-zahir Khane Peene Ki Koi Cheez Na hoti to Aap Apni Zubaan E   Muqaddas Unke Munh Me Rakh Dete Nawase Apki Zubaan E Athar Choos Kar Apni Bhook Pyas Khatm Kar Lete... Tibrani Wa Ibne Asakir Me Hazrat Sayyadna Abu Hurairahr رضي الله تعالي عنه Se Marwi hai Ke Ek Dafa Huzoor ﷺ Safar me the Usi Darmiyan Aapne Hazrat Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضي الله عتهما Ke Rone ki Aawaaz Suni,  Aapne Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Se Pucha Ke Bachche kyun Ro Rahe hain ?? Sayyada Ne Arz kiya Pyaas Ki Wajha

SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه

Image
SEERAT E NAWASA E RASOOL SAYYADUNA IMAAM E HASAN E MUJTABAرضي الله تعالي عنه...  (Part:04:) SAYYADNA IMAM E HASAN رضي الله تعالي عنه KE FAZA'IL... Hazrat Sayyadna Imam E Hasan رضي الله تعالي عنه Ki Shakl O Shabahat Rehmate Aalam ﷺ Ke Mushabah Thi Hazrat Sayyada Fatima Zehra رضي الله تعالي عنه Apko Lori Dete Waqt Farmaya Karti Thi... YE MERA BETA NABI E KAREEM ﷺ KE MUSHABA HAI APNE WAALID ALI KE MUSHABA NAHI...! Hazrat Uqba Bin Harisa رضي الله تعالي عنه Se Marwi Hai Ke Ek Din Ameer Ul Momineen Hazrat Sayyadna Siddiq E Akbar Aur Ameer Ul Momineen Sayyadna Ali E Murtuza رضي الله عتهما Namaz E Asr Adaa karke Masjid Se  Nikle, Hazrat Sayyadna Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Bachchon Me Khel Rahe The, Hazrat Sayyadna Abu-Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Unhe Apne Kandhe Par Utha Liya Aur Farmaya   "INKI HUZOOR ﷺ KE SAATH MUSHABIHAT HAI ALI KE SATH NAHI ISPAR HAZRAT ALI MUSKURAYE" YA ALLAH TU BHI INHE MEHBOOB RAKH: Hazrat Barra Bin Aazi