Posts

Showing posts from December, 2016

SHARIAT WA TARIQAT

PART:01 Tamaam Taarifen Us Allah Ke Liye Jis Ne Shariat Naazil Farmayi, Aur usi Ko Apni Bargaah Tak Pahunchne Ka Zariya Banaya. Puss Jo Shariat Ke Alawa Koi Aur Raasta Talaash Kare Wo Khasare Me Aur Khwahish E Nafs Ka Pairokaar Hoga Aur Gumraah Wa Sarkash Hoga. Aur Afzal Darood Aur Sab Se Mukammal SALAAM Ho un Par Jo Tamaam Rasoolon Me Sab Se Zyada IZZAT Waale Hain Aur Allah Taala Ke Raaston Ki Taraf Bulane Walon Me Sab Se Afzal Hain. Puss Shariat Ke Zariye Hi Sab Se Bade Aur Buland Rutbe (Yaani Allah Ki Bargah) Tak Pahunchna Naseeb Hota Hai. Aur Jis Ne Shariat Ki Muqalifat Ki To Wo Bhi Pahunch Gaya Lekin Kahan ? JAHANNAM Me. Aur Darood Wa Salaam Ho Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Aal Wa As'haab Par Aur Aap Alayhis Salam Ke Ulmaon Par , Aur Aap Alayhis Salaam Ke Groh Par Jo Ilm Ke Waaris Aur Huzoor E Aqdas Sallallahu Alayhi Wa Aalihi Wa Salam Ke AADAAB SEEKHANE WAALE HAIN. Aye Allah Tare Liye Hamd Hai Aye Mere Rabb Mai Shaitan Ke Hamlon Se Teri PANAAH Ma

Dua

Image
Ye duwa aap sab ke liye ek baar AAMEEN ZAROOR KEHNA ******************************* Ya ALLAH Hum Tujhi se Maangte hain Aisi MUWAAFI jis ke baad GUNAH na ho Aisi HIDAYAT jis ke baad GUMRAHI na ho Aisi RAZA jis ke baad NARAZGI na ho Aisi REHAMAT jis ke baad AZAAB na ho Aisi KAMYAABI Jis ke baad NAKAAMI na ho Aisi IZZAT jis ke baad ZILLAT na ho Ya ALLAH hame Duniya aor AKHIRAT ki zillat se bacha MUSTAQBIL ke aane waale dino main sukoon ATAA farma Aor hame inse faizyaab farma AAMEEN SUMMA AAMEEN ********************

KAMSIN LADKA

KAMSIN LADKA: ************** HIQAYAT: ******** Hazrat Abdullah Ibne Waasan Rehmatullah Ta'aala Alaihi Farmate Hain Ki Maine Ek Dafa Basre Ke Bazaar Me Ek Ladke Ko Dekha..! Jo Ro Raha Tha..! Maine Usse Pucha, Beta..! Kyun Rote Ho? Bola, Dozaq Ki Aag Se Dar Kar Ro Raha Hoon..! Maine Kaha Ki Tum Kamsin Ho Tumhe Dozaq Ki Aag Se Kya Dar Hain? Wo Bola, Maine Apni Maa Ko Dekha Hain Ki Jab Wo Choolah Jalati Hain To Badi-Badi Lakdiyon Ko Jalane Keliye Niche Choti-Choti Lakdiyan Bhi Rakh Deti Hain, To Yun Darta Hoon Khuda E Ta'aala­ Bade-Bade Nafarmaano Ko Jalane Keliye Mujh Jaise Choton Ko Bhi Aag Me Na Daal De..! Main Us Kamsin Ladke Ki Guftagu Se Bada Mutassir Hua..! Usse Kaha, Beta..! Kya Tum Mere Paas Rehna Manzoor Karoge? Wo Bola, Haan..! Magar Chand Sharton Par Ki Mujhe Bhook Lage To Khana Khilao..! Pyaas Lage To Pani Pilao Aur Main Marjaun To Mujhe Zinda Kerdo..! Maine Kaha, Beta..! In Sab Baaton Par Main Qudrat Nahi Rakhta, To Wo Bola, To Fir Jayiye Apna Kaam Kijiye..! Mai

BIMAAR YA TABEEB

BIMAAR YA TABEEB ***************** HIQAYAT: ******** Hazrat Sufiyan Sauri Rehmatullah Ta'aala Alaihi Ek Dafa Bimaar Ho gaye To Khilafat E Waqt­ Jo Aapki Bahut Izzat Karta Tha Usne Ek qaabil Tabeeb (Doctor) Ko Aap ke Paas Ilaaj Karne Keliye Bheja..! Ye Tabeeb Aatish Parast Tha..! Usne Jab Aapka Karura Dekha (Yani Jaanch Keliye Peshaab Dekhna) To Kehne Laga Ki Maloom Hota Hain Ki Ye Khuda Parast Buzurg Hain..! Inka Jigar Khuda Ke Khauf Se Para-Para Ho gaya Hain..! Phir Kehne Laga Ki Jis Deen Main Aise Kaamil Log Ho Wo Deen Hargiz Baatil Nahi Ho sakta..! Lihaza Main Musalman Hota Hoon..! Ye Kaha Aur Hazrat Ke Haath Par Tauba Ki Aur Musalman Ho gaya..! Khalifa E Waqt Ne Jab Ye Kissa Suna To Khush Hokar Kehne Laga Ki Maine Samjha Tha Ki Tabeeb Ko Bimaar Ke Paas Bhejta Hoon..! Haalanki Maine Khud Bimaar Ko Tabeeb Ke Paas Bhej Diya..! (Tazkiratul Auliya, Pg-231) ****************************** SABAK: ****** ALLAH Ke Maqbool Bandon Ke Dilon Me Khuda Ka Khauf Rehta Hain..! Wo Khuda

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wa Aalihi Wa sallam ne irshaad farmaya:

HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wa Aalihi Wa  sallam ne irshaad farmaya: yaqeenan ALLAH TAALA  ki 100 REHMATEN hain, unme se usne ek rahmat jin wo ins, haiwaanat aur Zameen ke keedo(insects)ke darmiyaan rakhi, To usi rehmat ki wajeh se ye sab ek dusre par meharbaani karte hain, isi sabab se aapas me shafaq'qat wo narmi ka mamla karte hain aur isi wajeh se wehshi jaanwar apne bacche par rehem karte hain, Aur ALLAH TAALA  ne 99 RAHMATON ko muaq'qar kiya hai jiske saath wo qayamat ke din apne bandaon par REHEM farmayega.. [sahih muslim ,hadees no:7150] Jazakumullahu Khairan Kaseera

SULATANUL HIND HAZRAT KHWAJA MOINUDDIN CHISTY R.A.

SULATANUL HIND HAZRAT KHWAJA MOINUDDIN CHISTY R.A. Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. 14 Rajab 536 Hijri ko Junubi Iraan ke ilaqe Sia-Istan ke ek doulat mand gharane me paida hue, Aap r.a. Nasali aiterbar se Sahi-ul-nasab the, Aaap ka Shijrah-Aalia Barah(12) waston se Ameerul Momineen Hazrat Ali karimallah wajha A.S. se jaa milta hai, Aap ke walide grami Khwaja Gayasuddin Hussain r.a. bohot doulatmand tajir aur ba-asar the,  Halanke kasrtat maal doulat ko Quran e hakeem me sab se bada fitna qaraar diya gaya hai, Magar Khwaja Gayas Hussain r.a. sahebe jaidat honeke sath sath ek aabid wa zahid shaqs the, Doulat ki farawni ke bawajud Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti r.a. bachpan se he qina’at pasand the. Jiss zamane me Aap r.a. ki wiladat hui wo bada pur ashoob dour tha, Siyaistan aur Qarasaan sheher loot maar ki zad me the, har taraf afra tafri ka alam tha, Sersabz wa Shadab ilakhon me Aag badh rahi thi,  aur khoobsurat sheher khhandero me tabdeel horahe the, Millate Islamia me kai firq

Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen

Hazrat Khwaja Sayyed Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatullāhi alaihi : Alqaab : ‾‾‾‾‾‾‾ Mehboob-e-Haq, Qutub-ul-Aqtaab, Qutub-ul-Islaam, Maalik-ul-Mashaa'ikh, Sultaan-ul-Tareeqat, Burhaan-ul-Haqeeqat, Ra'is-us-Saalikeen, Imaam-ul-Aamileen, Siraj-ul-Auliya, Taaj-ul-Asfia. ************* Aap ki wilaadat 569 Hijri (1173 A.D.) me Osh, Merv-un-Naher, (Kyrgyzstan) me hui. Aap ki wilaadat aadhi raat ko hui. Us waqt pure ghar me noor (roshni) chaa gaya aur aap ne sajde me jaakar ‘ALLĀH ALLĀH’ kaha. Aap ke waalid ka naam Sayyed Kamaal-ud-deen bin Sayyed Moosā rahmatullāhi alaihi hai. Aap Husaini saadaat hain. Aap ki waalida maajida farmaati hain ke ‘Hamal ke dino me jab me Tahajjud ki namaaz padhne ke liye uthti to mere pet me se Zikr (ALLĀH ALLĀH) ki aawaaz aati aur ye aawaaz ek ghadi tak jaari rehti thi. ************* Aap ki umr 1 saal 6 mahine thi tab aap ke waalid ka inteqaal hua. Aap ki waalida ne Shaikh Abu Hifs ke paas aap ki taaleem shuru ki. Is tarah 5 saal ki umr m

Kisi Takleef Ki Wajah

Kisi Takleef Ki Wajah Se Mout Ki Aarzu Na Kare 🌿 *********************** Huzoor ﷺ Ne Farmaya “Tum Me Se Koi Shakhs Kisi Takleef Ki Wajah Se Jo Mout Ki Aarzoo Na Kare Aor Agar (Takleef Ki Noeyat Aisi Ho Keh Iss Ke Bagair) Chaara Naa Ho To Iss Tarhan Dua Kare “Aye ALLAH ! Tu Mujhe Us Waqt Tak Zinda Rakh Jab Tak Zindagi Mere Liye Behtar Ho Aor Uss Waqt Mujhe Fout (De) Kar De Jab Wafaat Mere Liye Behtar Ho”. 📗– [(Reyaaz-Al-Saleheen) Jild No-1, Hadees No-40]

Gaur Karne Wali Baten:

Gaur Karne Wali Baten: Zameen insaan Ko Rizq Deti Hai, Lekin jab insan Marta Hai to Phir Wahi Zameen Use Apna Rizq Bana Leti Hai. . Parinda Zinda Ho To wo Chuntiyaan Khata Hai, Magar jab Wahi Parinda Mar jata Hai to Chuntiyaan Use Khati Hain. . Waqt Kabhi Bhi Badal Sakta Hai, Ek Daraqt 1 Laakh Maachis Ki Teeli Bana Sakta Hai, Magar Maachis Ki Ek Teeli Ek Laakh Darakht jala Sakti Hai.. . Tum Zindagi Mein Kabhi Kisi ko Mat Satana,aur Na Kbhi Kisi Ka Dil Dukhana, Kyunki Us Waqt Shayad Aap Taqatwar Ho, Magar Waqt Aap Se ZiyadaTaqatwar Hai.. "Imam Jafar Sadiq"(AS) Farmate Hein: Bacha Dunia Me Sirf 1 Hunar Le Kar Aata Hai Wo Hunar Hai"RONA"Aur Use Kuch Nhi Aata, Wo Us 1 Hunar Se Apni Maa Se Sab Kaam Karwa Leta Hai, Is Liye Apne RABB ke Samne "RONA" Seekho. Aur Apne "RAB" Ko Mana Lo, Beshak Tumhara Parwardigar 70 Maon Se Ziyada Pyar Karne Wala hai. Subhan'Allah.. Dusron se bhi ise share kareN aur is nek hidayat wale p

Mubarak

Ek Ye Jahan Ek Wo Jahan In Do Jahan Ke Darmiyan Bus Fasla Hai Ek Saans Ka, Jo Chal Rahi Hai To Ye Jahan, Jo Ruk Gayi To Wo Jahan, Saaqi Is Mala Me Moti Piro Do Darood Ke, Phir Ye Jahan Ho Ya WO Jahan Hamara Sath Ho Ga "SARKAR-E-DO JAHAN" Ka...!!!" "EID-e-MILAD-un-NABI Mubarak Ho...!!!" اللهم صل على سيدنا وحبيبنا نبينا محمد وعلى آله وسلم تسليما كثيرا

JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 30 *********************************************** YEMEN,SHAAM,IRAQ FATEH HONGE *********************************************** HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM ne yemen wa shaam wa iraaq ke fateh hone se barso pehle ye ghaib ki khabar di thi ki:-Yemen fateh kiya jayega to log apni sawariyon ko hankte hue aur apne ahel wa ayaal aur mut'tabein ko lekar (madine se)yemen chale jayenge..! Halanki madina hi ka qayaam unke liye behtar tha..! Kaash wo log is baat ko jaan lete..! Phirr shaam fateh kiya jayega to ek qaum apne ghar walon aur apne pairvi karne walon ko lekar sawariyon ko hankte hue (madina se)shaam chale aayenge..!Halanki Madina hi un ke liye behtar tha..!kash wo log isko jaan lete..! Phir Iraaq fateh hoga to kuch log apne ghar walon aur jo unka kehna manega un sab ko lekar sawariyon ko hankte hue (madina se)Iraaq ajayenge..!Halanki Madina hi ki sukoona

Apne Mahboob ﷺ Ko Pehchaniye! ♥......✦

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ  Ko Pehchaniye! ♥......✦ ✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 1 ✦ Aan Hazrat ﷺ Ke Sahibzade aur Sahibzadiyon Ki Ta’dad Kitni Thi? Aap (صلى الله عليه و سلم) Ke 3 Sahibzade The: ❶ Hazrat Qasim RadiyAllahu Anhu ❷ Hazrat Abdullah (in ka Laqab Tayyib aur Tahir Tha.) ❸ Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu ___In Mein Hazrat Qasim Ki Kunyat se Aap ﷺ Ko Abul Qasim Bhi Kaha Jata Tha. Aap (صلى الله عليه و سلم) Ki 4 Sahibzadiyan Thin: ❶ Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha ❷ Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha ❸ Hazrat Umme Kulthum RadiyAllahu Anha ❹ Hazrat Fatimah RadiyAllahu Anha Mazkurah Bala Tamam Aulad Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha Ke Batan Mubarak se Thi, Siwaye Hazrat Ibraheem RadiyAllahu Anhu Ke wo Hazrat Maria Qibtiyya RadiyAllahu Anha Ke Batan se The... #Alhamdulillah

Mere Peer O Murshid Ki

(اللہ کی رحمت ہر دل کے لیے ایک جیسی ہے) Mere Peer O Murshid Ki Taalimaat aur Irshadaat Ki Kuch Baaten Aap Sab Se Share Kar Rahe Hain. سمندر سب کے لیے ایک جیسا ہی ہوتا ہے لیکن کچھ لوگ اس میں سے موتی تلاش کر لیتے ہیں ، کچھ مچھلیاں پکڑ لیتے ہیں اور کچھ کو سمندر سے کھارے پانی کے سوا کچھ بھی نہیں ملتا ۔ بادل سے برسنے والا پانی ایک جیسا ہی ہوتا ہے ۔ زرحیز زمین اسی پانی سے سبزہ اگا لیتی ہے ، صحرا کی ریت اس پانی سے اپنی پیاس بجھاتی ہے اور وہی پانی چکنے پتھروں کو محض چھو کر گزر جاتا ہے ۔ اللہ کی رحمت ہر دل کے لیے ایک جیسی ہے اب یہ ھم پر ہے کہ ہم پر اسکا کتنا رنگ چڑھتا ہے۔ " اور اللہ کا رنگ سب رنگوں سے بہتر ہے. Translation: (Allah ki Rehmat har Dill Ke liye Ek Jaisi hoti hai ) Samandar sab ke liye ek jaisa hota hai lekin kuch log is me se Moti talash karlete hain, kuch log Machliyan pakad late hain, aur kuch ko Samandar se Khare pani ke siwa kuch nahi milta. Baadal se baarish wala pani ek jaisa hota hai, Zarahiz-Zameen is pani se Sabzah Ugaa leta hai, Sehra ki Reth is pani se

CHEENK AOR JAMAAHI KA BAYAAN

CHEENK AOR JAMAAHI KA BAYAAN ************************************ HADEES: Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta-ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Ko Jab Cheenk Aati Toh Aap Munh Ko Hath YaKapde Se Chupa Lete Aor Awaaz Ko Past(Ahista) Karte (Tirmizi Jild 2 Page 103) HADEES: Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Ne Kaha Ki Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Jab Kisi Ko Chink Aaye Toh "Alhamdulillah" Kahe Aor Uska Bhai Ya Saath  Waala "YarhamukAllah" Kahe Jab "YarhamukAllah" Keh Le Toh Chinkne Waala Uske Jawaab Me Ye Kahe "YahdiyokoMullaho Wa Yusliho Balakum" (Bukhari Jild 2 Page 919) HADEES: Hazrat Abu Said Khudri Radi Allahu Ta-ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Jab Kisi Ko Jamaahi Aaye Toh Apna Hath Munh Par Rakh Le Kunki Shaitaan Munh Mein Ghus Jata Hai (Muslim Sharif Jild 2 Page 413) *********************************

JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 29 ************************************************* HADEES ME GHAIB KI KHABRE ISLAMI FUTUHAT KI PESHINGOIYAN ************************************************* Ibtida e islaam me musalman jin aalam wa masaaib me giraftar aur jis be ser wa samani ke aalam me the us waqt koi isko sonch nahi sakta tha ki chand nihatte ,faka -kash aur besar wa saman musalman kaisar wa kasra ke jabir hukumaton ka takhta ulat denge .lekin gaib janne wale PAIGAMBAR E SAADIQ ne is halat me pure azmo yaqeen ke saath apni ummat ko ye basharat di ,ki "Aye musalmano ! Tum anqareeb kustuntuniya ko fatah karoge aur kaisar wa kasra ke khazanon ki kunjiyan tumhare daste tasrruf me hogi ,misr par tumhari hukumat ka parcham lehrayega ,tum se aur turko se jang hogi ! Jinki ankhe choti-choti aur chehre chaode-chaode honge ! Aur un jango me tum ko fateh mubeen hasil hogi..! [bukhari jild 1 safa 504 ta safa 513] Tareekh gawah ha

»TASHRIF AAWARI

»TASHRIF AAWARI«• ******************** Read this post ************* HIQAYAT:- ******** Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Jab Wiladat Sharif Hui! Us Waqt Huzur Ke Daada jaan Hazrat Abul Muttalib Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu qaaba Sharif Ki Dewaar Ki Taamir Me Mashgul The! Abdul Muttalib Farmate Hain Ki Main Qaaba Sharif Ka Tawaaf Kar Raha Tha Ki Achanak Qaaba Sharif Chaaron Taraf Zhukta Nazar Aaya Aor phir Makaam-A-Ibrahim May Sazda Me Gir Gaya Aor Usme Se Takbir Wa Tahlil Ki Awaazen Aane Lagi! Phir Wo Sidha Khada Hogaya, Isse Awaaz Aayi- "Sab Tarif Us ALLAH Keliye Hain Jisne Mujhe Mohammad SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Saath Maqsus Farmaya!" Phir Arkaan-A-Qaaba Aapas Me Ek Dusre Per Salaam Bhejne Lage! Hazrat Abdul Muttalib Farmaate Hain Ki Main Baab-A-Safa Se Baahar Nikla To Zamin Ki Har Chiz Mujhe Takbir Wa Taahlil Me Mashgul Nazar Aayi! Main Unki Awaaz Soon Raha Tha! Phir Yeh Awaaz Suni Ki- "Tumahre Paas Rasool SALLALLAHU-TA'AAL

JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 28 **************************************** ZAHIDANA ZINDAGI ********** HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA ne bataya ki HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM jis bistar par sote the wo chamde ka gadda tha jis me rui ki jagah darkhto ki chaal bhari hui thi. HAZRAT HAFSA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA kehti hai ki meri baari ke din HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek mote taat par soya karte the jisko mai do taih karke bicha diya karti thi.ek martaba maine us taat ko chaar (4)baar taih karke bicha diya to subah ko aapne irshad farmaya ki pehle ki tarah is taat ko tum dohra karke bicha diya karo .kyun ki mujhe andesha hai ki is bistar ki narmi se kahin mujh par gehri neend ka hamla ho jaye to meri namaze tahajjud me khalal paida ho jayega.Riwayat hai ki kabhi kabhi HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ek aisi chaarpayi par bhi araam farmaya karte the jo khurdare

JASHN E WILADAT

JASHN E WILADAT SARWAR E KONAIN (SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA AALIHI WA  SALLAM) PART 27 ******************************************* ZAHIDANA ZINDAGI ************** Aap SHAHENSHA E KONAIN aur TAJDARE DO AALAM hote hue aisi zahidana aur sada zindagi basar farmate the ki tareeq E nabuwat me iski misaal nahi mil sakti..! khurak wa poshak,makan wa saman,rahen-sahen garaz hayat E mubaraka ke har goshe me apka zuhad aur dunya se be-ragbati ka alam is darje numaya tha ki jisko dekh kar yahi kaha ja sakta tha ki dunya ki nemate aur lazzate apki nigah e nabuwat me ek macchar ke par se bhi ziyada zaleel wa haqeer hai.! HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU TA'ALA ANHA ka bayan hai ki HUZOOR SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ki muqaddas zindagi me kabhi 3 din lagatar aise nahi guzre ki apne shikam sair hokar roti khayi ho..!ek-ek mahine tak kashana E nabuwat me chulha nahi jalta tha..!aur khajure wa pani ke siwa aapke ghar walon ki koi dusri khurak nahi hua karti thi..! halan ki ALLAH TA'

Islamic Poems

Islaami poime ****************************** Khak-e-Taibah Mere Sine Se Laga Di Jaaye,,, Haan Bashaarat Mujhe Jannat Ki Sunnat Di Jaaye...! Mehfil-e-Naat phir Ek Baar Saja Di Jaaye, Qalb-e-Dushman Ki Jalan Aor Badha Di Jaaye....! Honsh Aayega Na Duniya Ki Dawao Se Muje,, Naal-e-Sarkar-e-Do Alam Ki Hawa Di Jaaye...! SALLALLAHO ALEYHI WASALLAM ******** + +***********************

TAQDEER Ka BAYAAN

TAQDEER Ka BAYAAN ******************* Aalam mein jo kuch bhlaa-bura hota hai Sabko  ALLAH Ta'ala isko hone se pehle hi AOR hamesha se jaanta hai Aor usne apne isi ilm-e-azali ke muwaafiq par bhalai-burai muqaddar farma di hai TAQDEER isi ka naam hai jaisa hone wala hai aor jo jaisa krne waala tha isko pehle hi ALLAH Ta'ala ne apne ilm se jana aor isi ko ALLAH Ta'ala ne Lohe-Mehfooz par likh diya To yeh na samjho jaisa usne likh diya  majbooran humko waisa hi krna pdhta hai balki waqiya yeh hai jaisa hum krne waale the waisa hi usne boht pehle likh diya. Kisi ke zimme burai likhi isliye ki Wo burai krne waala tha Agar Koi bhalai krne waala hota to woh Uske liye bhalai likhta To ALLAH Ta'ala ne TAQDEER likh kar kisi ko bhalai ya burai krne ke pr majboor nhi krdiya hai . Aqeedah 1- TAQDEER par imaan laana bhi zaruriyaat-e-deen mein hai TAQDEER ka inkaar krne waaloñ ko Nabi Kareem ﷺ ne is ummat ka majoos kaha hai. Aqeedah 2- TAQDEER ke masa'il Aam lo

Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat

Jinnaat Ke Mutalli Kuch Sawal Aor Jawabat *************************************** Sawaal: Jinnaat Ki Kitni Qisme Hain?? Jawaab: Jinnat ki 3 Qisme hain 1-Wo Jinn Jinke Par Hote hain Aor Wo Hawa me Udte Bhi hain 2-Wo jinn Jo Sanpon Ki Shaqal me Rehte Hain 3-Wo jinn Jo Insaano ki Tarah Hain (Hayaatul Haiwan) Sawaal: Kis Qisam ke Jinnat Se Hisaabo kitab hoga?? Jawaab: Tisri Qisam ke Jinnat Se Yaani jo Insaano ki Tarah hai unse hisabo kitab Hoga Akhirat me Sawaal: jinnat Zameen Par Kab Aabaad kiye Gaye?? Jawaab: Allaha Ta'ala ne Jinnat ko Hazrat Aadam Alaihissalam ki paidaish Se 60000 Hazaar Saal Pahle jinnat ko Zameen Me Basaya tha (Tafseere Naimi jild 1 page 279) Sawaal: Jinnat zameen Par kitne Saalon Tak Abaad Rahe?? Jawaab: Jinnat Zameen Par 7 Hazaar Saalon Tak Abaad Rahe (Tafseere Naimi jild 1 page 279) Sawaal: Jinnat ko Zameen Se Q Bhagaya Gya Aor Kisne Bhagaya?? Jawaab: jinnat jab Zameen Par Abaad hue To Unka AApas me Hasad Shuru hua Unhone Zame

Shaitan Farishta Tha Jinn??

Sawal: Shaitan Farishta Tha Jinn?? ***************************** Jawab Kuchh log Kam ilmi ki Wajah Se Ye kehte hain ki Shaitaan Yaani Iblis jo Tha Wo Ek Farishta Tha Isliye ALLAH ne Use Farishto ka Sardaar Banaya Tha Jabki Ye Ek Galat Aqeedah hai Iski Daleel Hum Quraan Se Dete Hain ji Shaitan Ek jinn Hai Surah Kahaf Aayat No. 50 main hai ki Shaitan Ek jinn Tha Hamen Quraan ki Manni Chahiye Na ki kisi insaan ki Usko Farishton ka Sardaar Q banaya Gya Q ki Wo us Waqt bohot Ibaadat  Guzar tha Isliye Usko Saare Farishyon ka Saradaar banaya gya lekin jab Hazrat Aadam Alaihissalam ki paidaiah hui Tab Wo khudpar ghumaan Karne Laga Aor Jab Usko ALLAH ne huqm diya ki Hazrat Aadam Alaihissalam Ko Sajda karo To Sab Farishton ne Sajda kiya lekin usne Takabbur me Aakar manaa kardia Ao bola Me Inse Zyada Fazilat Rakhta hun Q ki Me Aag Se Banaya Gya hoon Aor Ye Mitti se phir Wo Mardood Hogya Aor Uspar Qayamat Tak ALLA ki Laanat Barasti Rahegi AOR Jahannam me jayega Jab

Hazrath HALEEMA Raziallahu Taala

Image
Hazrath HALEEMA Raziallahu Taala Anha Farmati Hain : "Jab HUZOOR E AKRAM ﷺ ko apne paas laaye, hame kabhi chiragh ki zarurat hi pesh na aayi, kyun ke AAPKE Mubarak chehre ka Noor Chiragh ki roushni se zyada Roushan wo Munawwar hai, agar kisi dusre Muqaam par kabhi hame Chirag ki zarurat pesh aati to hum AAPKO us muqaam par le jate , AAP KI Barakat se usi waqt daro diwaar aur makanaat Roushan Hojate " (Tafseer e Mazhari,vol:6 pg:514)

Naat Sharif

Image
TUM HI FARSH SE ARSH PAR JANE WALE TUM HI NEMATEIN RAB SE DILWANE WALE TERE AAGE SAB HAATH PHILANE WALE CHAMAK TUJHSE PATE HAIN SAB PANE WALE MERA DIL BHI CHAMKA DE CHAMKANE WALE HAI BE MISL TERA KARAM JANE IZZAT GULAMO PE HAR DAM HAI TERI INAYAT WO GULSHAM HO SEHRA HO DARYA KE PARBAT BARASTA NAHI DEKH KAR ABRE REHMAT BADO,N PAR BHI BARSADE BARSANE WALE SAWARI SE APNI TU JIS DAM UTARNA MADINE KE ZAIR ZARA TU SABHALNA YAHAN THA MERE MUSTAFA KA GUZARNA HARAM KI ZAMEE AUR QADAM RAKH KE CHALNA ARE SAR KA MAUQA HAI O JANE WALE AYE MUSHKIL KUSHA KIJIYE MUSHKIL KUSHAI TADAP KAR JO MEIN NE SADAA YE LAGAI TU AAQA KI REHMAT YE PAIGAAM LAYI AB AAYI SHAFA,AT KI SAA,AT AB AAYI ZARA CHAIN LE MERE GHABRANE WALE HAIN MAKKE KE JALWE YE MANA KE ACHCHHE MAGAR MEIN MADINE KI AZMAT KE SADQE USSE TU HAI NISBAT MERE MUSTAFA SE MADINE KE KHITTE KHUDA TUJH KO RAKHE GAREEBON FAQEERON KE TEHRANE WALE KABHI GHAUS O KHAWAJA KE NAAMO SE ULZHE DUROODON SE ULZHE SALAMO SE ULZHE SAHI-UL-AQID

KABUTER KE BACHCHE

HIQAYAT: ********** Ek Araabi Apni Aastin Me Kuch Chupaye Hue Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Kehne Laga, Aye Mohammad (SALLALLAHU-ALAIHI-WA AALIHI WA  SALLAM) Agar Tu Bata De Ki Meri Aastin Ke Andar Kya Hain? To Main Maan Lunga Ki Waqayi Tu Sachcha Nabi Hain..! Huzoor Ne Farmaya, Waqayi Imaan Le Aaoge? Usne Kaha, Haan, Waqayi Imaan Le Aauga..! Farmaya, To Suno, Tum Ek Jungle Se Guzar Rahe The..! Tumne Ek Daraqt Dekha Jispar Kabutar Ka Ek Ghonsla Tha..! Us Ghonsle Me Kabuter Ke 2 Bacbche The..! Tumne In Dono Bacchon Ko Pakad Liya..! Bachchon Ki Maa Ne Jab Dekha To Wo Maa Apne Bachchon Par Giri To Tumne Use Bhi Pakad Liya..! Wo Dono Bachche Aur Unki Maa Is Waqt Bhi Tumahre Paas Hain Aur Is Aastin Ke Andar Hain..!      Araabi Ye Sunkar Hairaan Reh Gaya Aur Jhat Pukaar Utha "Ash-Hadu-Al-La-Ilaha-Illallah-Wa-Ash-Hadu-Anna-Ka-Rasoolullah" (Jaami-Ul-Moajizaat Pg-21) ******************************* SABAQ: ******* Hamare Huzoor